[an error occurred while processing the directive]

Mobile se delete hue data ko kaise recover kare

Mobile se delete hue data ko kaise recover kare

मोबाइल से डिलीट हुए डाटा को कैसे रिकवर करे

mobile se delete hue data ko kaise recover kare 2

Namaskar dosto mera naam abhishek malik hain aur aaj mai apko btaunga ki mobile se delete hue data ko kaise recover kare. aapme se kafi log honge jinse Galti se unke mobile se unka data delete ho jata hain aur fir unke pas pachtane ke elawa kuch nhi rehta. per dosto aaj technology kitni advance ho gai hain. ab apko apne data ko lekar fikar karne ki jarurt nahi hain. Agar apke mobile se apka koi data jaise ki Images, Videos, contact, Documents, Ya koi bhi jaruri file galti se delete ho gai hain to aap us data ko firse recover kar sakte hain. Aaj mai apko bahut hi simple method se Mobile se delete hue data ko recover karna sikhaunga. Dhyan se padhiye.

Yeh post bhi jarur pade:

Internet ki speed kaise badaye

WiFi ka password kaise pata kare

Mobile se Delete hue data ko kaise recover kare

mobile se delete hue data ko kaise recover kare 1

Dosto is trick ko use karne se pehle mai apko bta du ki apko isme ek laptop ya ek computer ki jarurt padengi. agar aapke pas laptop or computer nahi hain to aap cyber cafe me jaakar is trick ka istemal kar sakte hain.

Sabse pehle apne mobile ki Setting me jaiye aur fir about phone per click kariye.

Setting >>>>> About phone

jab aap about phone me chale jate hain to thora niche aane per apko waha build number ka option dikahi denga apko is build number ke upar 7 bar click karna hain. jisse apka developer option activate ho jayenga.

In Post ko bhi jarur pade:

90,000 rupiye mahina kaise kamau

Youtube Se Paise kaise kamaye

7 bar click karne ke bad jab apka developer option activate ho jaye to apko about phone wale option se bahar aa jana hain . aur fir aap dekhenge ki apke about phone wale option k upar developer ke nam se ek option bankar aa gya hain.

Ab apko developer ke upar click karna hain aur waha mobile debugging ke option ke samne check ka sign laga dena hain, ya mobile debugging ko ON kar dena hain.

Ab bari aati hain apke laptop or computer ki

mobile se delete hue data ko kaise recover kare

Ab apko sabse pehle apne laptop ya computer me Dr fone naam ka software download karna hain. Yeh software aap Dr.fone ki official website se hi download kare. Yaha apko yeh software paiso me milenga . jiska price hain 50$ per abhi rukhiye. Yaha ek aur option hain jiska naam hain free trial. apko kuch dino ke liye yeh software free me istemal karne ke liye bhi diya jata hain. Ki aap check kar le ki yeh software aapke kaam ka hain ya nahi. to mai apko suggest karunga ki software kharidne se pehle usko ek bar free trial karke jarur dekh le. agar apke yeh software kaam aata hain to aap ise kharid bhi sakte hain. aur agar yeh apke kisi kaam ka nahi hain to aap na kharide.

In post ko bhi jarur pade:

Google Se Paise Kaise Kamaye

IRCTC Ki Website Se Confirm Tatkal Ticket Kaise Book Kare

Dr.fone ki official website per jaakar aapko free trial per click karna hain, apse apka email id aur naam manga jayenga , usko fill kar de, fir apke computer me yeh software ka setup download ho jayenga jise aap install kar le.

Ek bar jab yeh software apke PC me install ho jaye to apko fir apna mobile phone data cable ki help se apne computer se jodna hain. aur fir is software ko open karna hain.

Open karne ke bad apko waha scan ka button dikahi denga, scan ke button per click kare , scanning process 20-30 minute ka time lengi ek bar scanning complete ho jaye to apke samne apka sara data aa jayenga jo apse delete ho gaya tha, aap ek-ek karke check kar le ki jo apko chahiye tha wo apko mila hain ya nahi, agar apko apka data mil gaya hain to aap fir is software ko buy kar sakte hain jiska price kewal 50$ hain. india ke hisab se takriban 3000 ke ash pash…

Software kharidne ke baad aap iska istemal kabhi bhi kar sakte hain. aur apne mobile ke delete data ko recover bhi kar sakte hain. isse ap apne call log ko bhi check kar sakte hain . Aap is software ko kharidne ke bad apne dosto ke mobiles bhi scan kar sakte hain, jiske badle me aap unse thore paise bhi kama sakte hain 🙂

To dosto asha karta hu apko meri yeh post ” Mobile se delete hue data ko kaise recover kare” acchi lagi hogi, please ise share kare . agar apko mujhse kuch puchna hain to aap comment ke through puch sakte hain.

Comments

  1. Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]
disawar satta king