[an error occurred while processing the directive]

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare

other ब्लोग्स की टेम्पलेट कैसे पता करे और टेम्पलेट कैसे कस्टमाइज करे 

Internet ki speed kaise badaye 7

Namaskar dosto Aaj ki blog post kafi khash hain, Yeh post Newbie bloggers ke liye kafi Helpful hogi Jinko templates se related issue rehte hain. Kuch bloggers ko agar dusri blog ki Template pasand aa jati hain to wo log bhi chahte hain ki wo bhi waisi template apne blog me lagaye, But yeh kaise pata kare ki uske blog me konsi Template lagi hain, Chalo agar ek baar Template pata Lga bhi li to usko customize kaise kare yeh bhi ek sawal sabke mann me rehta hain. to dosto ab Apko Tension lene ki jarurt nahi hain, aap log bhi simple tarike se Template ka pata karke usko apne blog per laga sakte hain. to aajki post isi topic per hain ki Other Blogs ki template kaise pata kare aur template kaise customize kare. Waise mere is Tittle me 2 question ek sath aa jate hain.

1: Other Blogs ki Template kaise pata kare
2: Apne blog ki Template kaise customize kare

To dosto Mai in dono questions ke answer apko ek – ek karke de dunga. to dhyan se is post ko padiye aur agar yeh post apke kaam aai hain to isko share bhi jarur kare aur comment karna na bhule.

Other Blog ki Template kaise pata kare

Maanlo apko mere blog ki template pasand aa gai hain, ab aap chahte hain ki aap bhi is template ko apne blog me lagaye. But apko yeh nahi pata ki yeh konsi template hain. To dosto Template ka pata karne ka ek asaan tarika hain.

Sabse pehle apko jis website ki Template pata karni hain, us website ko khol lijiye. Ab us website me kahi bhi apne Mouse se Right Click kariye. Right click karne per apke samne kuch options khulkar aa jayenge, aapko VIEW PAGE SOURCE per click karna hain.

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare 1

Apke samne Next tab me ek page khulkar aa jayenga. yeh apki website ka Source page hain. Ab apko yaha CTRL + F press karna hain. jiske bad is page source me ek box khulkar aa jayenga, yeh box search box kehlata hain. ab is search box ki help se hum pata karenge ki Other blog per konsi Theme ya Template lagi hain.

Is post ko bhi jarur pade:

Google Adsense se India me sabse jyada kamai karne wale top 5 blogs

5 simple steps me jane ek acchi blog post kaise likhe

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare 2

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare 3

Agar Blogger Blog hain to aap template likhkar Search kare, aur agar wordpress blog hain to aap themes likhkar search kare. Jaise hi aap theme likhkar search karenge to Jaha – jaha themes likha hoga wo sab Colourful ho jayenga. to ab scroll down karke dekhiye ki is blog me konsi theme / template lagi hain. jaise mere is blog me Ribbon ki theme lagi hain, jaise ki aap dekh pa rahe hain. aur yeh maine mythemeshop se li hain. yeh ek free theme hain.

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare 4

Jab apko theme ya template ka pata chal jata hain to aap ya to direct theme ki website per jakar usko le sakte hain, otherwise aap Google per sidha us theme/template ka naam search kare, aur waha se download kar le.

Yeh Post bhi jarur pade:

4-5 hours me kaise google adsense account approve karwaye

Blog se paise kamana chahte hain to dhyan rakhe yeh jaruri batein

Blogger Blog wale users ko ek Zip File milengi jiske andar se apko XML file nikalni hain, wohi apki template hain. XML File nikalne ke liye us theme ko Extract karna padenga. Iske liye us theme ke upar Right click kare aur Extract all kar de.

Zip File >>>>> Right Click >>>>> Extract File

Extract karne ke bad jab aap us File ko kholenge to apko aisa dikahi denga, isme se aapko XML file ko nikalna hain, uske liye XML File ke upar click kare aur Copy karke dusri jageh le jakar paste kar de.

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare 5

Ek bar theme/template download kar lene ke baad , aap use apne blog me upload kar sakte hain, Blogger blog me custom template kaise lagaye is post ko padhiye.

Wordpress Blog me Theme Upload karne ke liye Themes >>>>> Add New per jaakr upload kar sakte hain.

Template kaise customize kare

Blogger Blog me agar apne Blogger ki hi Theme use kari hain to aap Apne blogger ke dashboard me jaakar templates per click kare aur fir customize per click kar de.

Template >>>>> Customize

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare 6

yaha kafi sare options hain, jiski help se aap apne Blogger blog ko customize kar sakte hain.

Yeh post bhi jarur pade:

Blogger Blog ka backup kaise banaye

SEO kya hota hain

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare 7

1: Templates: yaha se aap apne blog ko apni manpasand ki Template de sakte hain, jo aapko acchi lage, yeh sab free templates hain. jab bhi ap template change karenge to isi page per apko uska preview bhi dikahi denga, jisse apko use customize karne me help milengi.

2: Backgroud per click karke ap apne blog ke Page ka Background colour change kar sakte hain, jaise normally sab white colour use karte hain. to aap bhi apni marji se koi bhi colour rakh sakte hain, bus dhayan rahe colour aankhon ko na chubhe, warna visiters per bura asar padenga.

3: Adjust Widths: Isse aap apne Blog ke Page ki widths set kar sakte hain, aur sath hi apne side bar ki bhi.

4: Layout : Isse aap apne blog ka Layout set kar sakte hain, ki apko sidebar ek side chahiye ya dono side , ya sidebar nahi chahiye, apni marji se apna layout set kare.

5: Advanced: Isse aap Ke page text, tittle, aur text colours wagra change kar skte hain, ki apko tittle per konsa colour chhaiye Header per konsa colour chahiye wagera-wagera.

yeh to baat ho gai normal Template ki. ab baat kar lete hain custom template ki.

Yeh post bhi jarur pade:

Youtube se paise kaise kamaye

Custom templates pehle hi customize hokar aati hain. Unka layout bhi pehle hi bankar aata hai, apko bus jarurt hai blogger ke Layout wale option me jane ki. aur waha se apne Widget/Gadgets ko sahi jageh drop down karne ki. yeh aap easily kar sakte hain.

Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare 8

Widget add karne ke liye Layout me jaiye aur ADD A GADGET per click kare, apke samne ek Tab aa jayenga usme se apni pasand ka Widget choose kar le aur add kar le. aur save arrangement per click karke save kar le..

bus problem aati hain, Template ka Menu bar add karne me aur apna logo lagane me, agar aap coding acche se jante hain to aap isko easily kar sakte hain.

Blogger blog me Custom Logo kaise lagaye janne ke liye yeh post padhiye.

Blogger blog ke custom Template ke menu bar ko kaise customize kare janne ke liye yeh post pade.

Wordpress blog ke users Appearance per click karke customize wale option me jaakar apne blog ko apni pasand ke anusar customize kar sakte hain. Blogger blog ki tulna me wordpress blog ko customize karna jyada easy hota hain, kyuki usme coding karne ki bahut kam jarurt padti hain, aap sidha customize per jaakr apne blog ko design de sakte hain, aur apne manpasnad ke widgets bhi apne sidebar , header aur footer e.t.c me laga sakte hain.

Appearance >>>>> Customize

Appearance >>>>> Widgets

Appearance >>>>> Menus

e.t.c ka istemal karke aap apne blog ko look de sakte hain.

To dosto yeh meri post Other Blogs ki Template kaise pata kare aur Template kaise customize kare complete hui.

Asha karta hu dosto apko mera yeh post accha laga hoga. Agar apko kuch puchna hain to aap mujhse sidha comment box ke through puch sakte hain. mai apki jarur help karunga.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]
disawar satta king