03 Jun 2016
Seo Kya Hota Hain
Seo Kya Hota Hain
seo क्या होता हैं ?
Aaj ka jo hmara Topic hain ki Seo Kya hota hain, yeh Bahut hi Important Topic hain, Agar aap Blogger hain ya apki website hain to aapko Yeh Jarur janna chahiye ki seo kya hota hain, Waise aamtor per sabhi bloggers ko seo ke bare me pta hota hain , But yeh hamara hindi section hain, mai apko Hindi me details de raha hu, aur mai khud yeh janta hu ki Hindi me websites bahut kam hain, to mai khud apne readers ko Complete jankari provide karna chahta hu, Kuch Blogger Seo ke bare me Full Guide nahi karte hain, Ya jo karte bhi hain wo log ek hi topic ke andar sab Taam Jhaam Daal dete hain, Jisse New User ko Seo Ke bare me Janne me Bahut problem hoti hain, Aur kuch Newbies to Seo ko dekhkar hi dar jate hain, dosto aisa nahi hain, seo ek bahut hi simple chij hain, isse darne ki jarurt nahi hain, mai apko apne is blog me jitne acche se hoga utna accha smjhane ki koshish karunga. Seo se related Bahut sare Topics banunga aur apko steps to steps ek -ek karke sbhi btaunga ki apko kaise -kaise apni website ka seo karna chahiye. to aaiye shuru karte hain.
Yeh Post bhi Jarur Pade:
Seo kya hota hain?
Seo ka pura naam hain SEARCH ENGINE OPTIMIZATION, apko yeh pura naam dekhkar hi pata lag raha hoge ki yeh hume Search Engine me kuch Optimize karne ko keh raha hain, Haan ji apne bilkul sahi socha hain, ya bilkul sahi andaja lgaya hain.
Dosto jaise ki Search Engine se matlab hain Google, Yahoo, Bing, E.t.c , means jaise ki Google.com yeh ek Search engine hain, Agar apko kabhi bhi kuch bhi janna hota hain to aap Google me aate hain aur us Particular chij ka naam waha likh dete hain, aur fir Google apko us chij se related ek se badhkar ek content apke samne lekar aa jata hain, aur aap sirf Google page ke first ya second page ke hi kuch contents ko dekhte hain, aap kbi google ke third page me jaane ki nahi sochte , kyuki apko lagta hain waha kuch acchi jankari nahi milengi, kyuki jo piche reh gya wo fhisaddi hain, But aisa nahi hain, Google ke First page me jo websites aa jati hain, wo sabhi websites seo optimize hoti hain, matlab ki un sabhi websites ne Search Engine me Top me aane ke liye apni websites ka seo kiya hota hain.
Yeh post bhi jarur pade:
Simple bhasha me samjha lete hain, Google Search Engine ke pehle page per aane ke liye hi Seo kiya jata hain, taki apki website per jyada se jyada Traffic aa sake, Kyuki sabhi Logo ko apki website ka naam nhi pata hota hain, isliye apki website per itna traffic nahi aa sakta, but agar aap apni website ka ek accha seo karte hain to aapki website search engine me top per aa jati hain aur jyada se jyada logo tak pahuchti hain, jisse apki website per Traffic badh jata hain , Isi Traffic ko badane ke liye jo hum chij karte hain use Seo kehte hain.
Seo bahut tarike ke hote hain, Agar simple btau to iske kafi sare steps hain. jo apko ek-ek karke complete karne hote hain. But ajka topic sirf Seo kya hota hain, isper related hain, to mai apko jyada Ghumana nahi chahta, ya aisa nhi chahta ki apke dimag per kuch jyada hi khichdi paida ho jaye. isliye mai apko bus seo ke bare me bta raha hu, Seo ke baki sabhi steps bhi mai apko apni agli posts me clear kar dunga.
Yeh post bhi jarur pade:
Ek post likhte time bhi hum Seo karte hain, Jaise ki Hum Google me search karte hain, Ki Seo kya hota hain, To is Seo se related sabhi articles apke samne aa jate hain, aisa isliye hota hain kyuki apne Keywords ka acche se istemal kiya hua hota hain, Seo bhi ek keyword hain, aur seo kya hota hain yeh bhi ek keyword hain. isliye jab bhi aap apni posts me is keyword ko jitni baar use karenge apke content ki value utni hi badh jayengi.
Seo karne ke liye aapko Content ki length bhi badani hoti hain, mai apse kahunga jab bhi aap apni koi post likhe to koshish kare 800 words tak ki ek post likhe, kyuki jitni badi post hogi usko Google utni hi value denga .
Yeh post bhi jarur pade:
Apne posts /Content ko Google ke search engine me laana hi Seo kehlata hain. Google apke Content ko Apne andar Index kare iske liye hi aap seo karte hain. apki post ko Google me Index karne se lekar apni websites ke Links dusri websites me pahuchana yeh sab seo ke andar hi ata hain, jiske bare me hum bad me baat karenge.
To dosto asha karta hu ki aap samjah paye hoge ki seo kya hota hain, agar fir bhi apko koi problem ya doubt hain to aap mujhse sidha comment ke madhyam se puch sakte hain.