Blogger Blog me Custom Logo kaise lagaye
Blogger Blog me Custom Logo Kaise Lagaye
ब्लॉगर ब्लॉग में कस्टम लोगो कैसे लगाये
Namaskar dosto Aapne apne Blogger blog me Custom template kaise lagaye yeh sikh liya hain, Other blogs ki template kaise pata kare aur kaise apne Blog ki Template ko Customize kare yeh bhi apne sikh liya hain. Blogger Blog me Custom menu ko customize karna bhi apne sikh liya hain, to dosto isi kadi me mai aaj apko Blogger Blog me custom logo kaise lagaye yeh sikhaunga. Asha karta hu apko yeh post acchi lagengi.
Dosto yeh post jyada badi nahi hain, Kyuki isme bus Logo lagana sikhaya gaya hain. yeh mere blog ki dusri Sabse Choti post hogi. Agar apko pasand aaye to please comment karke jarur btaye.
Dosto har blogger chahta hain ki uska Blogger blog me custom logo ho. Aur kuch Newbies Blogger ko yeh nahi pata hota ki Blogger blog me custom logo kaise lagaye. Sabse pehle to aap apne Blogger blog ke liye ek Custom logo bana lijiye, custom logo aap apne desktop ke paint me bana sakte hain.
Chaliye aage baat karte hain. Custom logo lagane ke liye apko apne blogger blog ke dashboard se Layout me ana padenga.
Dasboard >>>>> Layout
Yaha apko Header widget ke edit button per click karna hain aur use open kar lena hain. fir apko waha choose File naam se ek option dikhai denga. us option per click kare aur apne desktop se apna Logo select kare. agar aap bus logo dikhana chahte hain. to Instead of title and description option per check ka sign laga de. jisse bus apka Logo dikhai denga, aur fir save ke button per click kar de.
Dosto ab apka Logo save ho gaya hain, ab apni website ko refresh kare aur apna Logo check kare.
Asha karta hu apko yeh short Post acchi lagi hogi, koi problem ya sawal hain to aap mujhse comment box me likhkar puch sakte hain.