06 Jun 2016
Blogger Blog me custom template kaise lagaye
Blogger Blog me custom template kaise lagaye
ब्लॉगर ब्लॉग में custom टेम्पलेट कैसे लगाये
Namaskar dosto mera naam abhishek malik hain aur aaj mai apke liye bahut hi upyogi post lekar aaya hu, Jiska naam hai blogger blog me custom template kaise lagaye, Kafi sare new blogger ki yahi problem hoti hain, ki unko samjh nahi aata ki wo apne blog me custom template kaise lagaye, to chaliye aaj mai apki is problem ko solve kar deta hu, yeh post jyada badi nahi hain, yeh choti si post hain, per yeh post kafi upyogi post hain.
Aaiye jante hain Blogger Blog me custom template kaise lagaye.
Sabse pehle apne Blogger blog me apne gmail ke account se Login ho jaiye.
Login Hone ke baad apne Blogger ke dashboard me se aapko Template Naam ke Option ko select karna hain.
Jab aap Template per click karenge apke samne is tareh ka page khulkar aa jeynga. ab aapko is page me upar Ki taraf Backup/Restore ka option dikhai de raha hoga, apko usper click karna hain.
Ab aapke samne is tareh ka page khulkar aa gya hoga, isme apko Choose File ke button per click karna hain aur apne desktop me se apni apni template select karke upload kar deni hain.
bus ab apki custom template upload ho chuki hain, ab apne blog ka page refresh kare aur dekhe apki new template ke sath apka blog kaisa lag raha hain.
Dosto apko mera yeh chota sa per bahut upyogi article kaisa laga mujhe comment ke duwara jarur btaye.