[an error occurred while processing the directive]

YOUTUBE Se Paise Kaise Kamaye

YOUTUBE Se Paise Kaise Kamaye
YOUTUBE से पैसे कैसे कमाए
 
Agar aap Youtube se paise kamana chahte hain to yeh post bahut hi dhyan se padhiye, isme mai apko btaunga ki kaise aap Youtube se paise kama sakte hain.
Dosto Youtube se Paise kamana Bahut hi asaan hain, iske liye apko youtube me apna ek channel banana padenga, aur usme kuch Videos Dalni padengi. Dhyan Rahe wo sabhi Video ORIGINALS ho, kahi se bhi kisi ki copy video na daale, ya kisi Video Song ki video bhi na dale, Sirf wohi Videos daale jo apne khud banai hain, Tabhi youtube apki video ko accept karenga, Otherwise apki Video Ko copyright keh denga.
Dosto Youtube se paise kamane ke liye apko apni Video ke andar Google Adsense ke Ads lagane honge, Jab bhi koi Person apki Video ko dekhenga aur un Ads per click karenga uske badle me apko paise mil jayenge. .
Ajkal Youtube per bahut sare Channels hain aur log unse Lakhon rupiye mahina kama rahe hain, Agar aap bhi kuch aisa jante hain jo ap dusro ko btana ya dikhana chahte hain to aap apni video banakar youtube per dal sakte hain. Youtube per aap koi bhi video dale jaise ki khana banana, Crafts banana, Games se related, Kisi Mobile ke bare me btana , everything kuch bhi..
Yeh Posts bhi pade:
Chaliye ab mai apko iski complete process btata hu, ki kaise aap Youtube me apna Channel bana sakte hain aur kaise aap Waha Adsense ke liye Apply kar sakte hain, jisse apko Earning ho.
Yeh  Puri Process mai apko Step-wise smjhaunga isliye ek ek karke sabhi Steps Follow kare.
Step1: Sabse Pehle Youtube ke official Page per jaiye aur Sign In ke button per click karke aapne Google/Gmail ke account se Sign in ho jaiye.
Step2: Ab aapko create Studio ke button per click karna hain. taki aapka youtube per channel ban jaye,
Step3: ab apka channel ban gaya hain. ab apko yaha Upload ke button per click karke kuch Videos ko Uploads karna hain, Taki aapka Youtube ka account verify kiya ja sake aur apki Videos ko Monetize kiya ja sake. jisse apki videos per Google Adsense ke ads aa sake aur aap paise kama sake.
Yeh Posts bhi jarur pade:
Step4: Jaise hi aap videos Upload kar dete hain uske baad apko CHANNEL ke button per click karna hain.
Step5: ab aapko yaha apna Youtube ka Channel Verified karwana hain, Iske liye Verify per click kare.
Step6: Jaise hi aap Verify per click karte hain, aapke samne yeh page aa jeynga iske baad apko apni country select karni hain aur second wala option select karna hain, Text me the Verification code.
Yeh Post Bhi Jarur Pade:
Step7: Ab niche Box me apna Mobile number daaliye, taki apke mobile me Verification code aa sake aur aap apna Youtube ka channel verify kar sake. aur Submit ke button per click kar dijiye.
Step8: Ab apna mobile check kariye aur Verification code yaha likh dijiye aur Submit kariye.
Step9: Ye lijiye aapka Youtube ka Channel Verify ho chuka hain, ab aap yaha se Unlimited kamane kama sakte hain. chaliye ab isme Google adsense ka account add karte hain
.
Step10: Ab firse usi page per aakar Monetization ke samne wale Enable ke Button per click kariye.
Yeh Post bhi Jarur Pade:
Step11: Enable my Account per click kariye.
Step12: Sabhi Boxes per Check ka sign lgaiye aur I accept per click kar dijiye.
Is Post ko Bhi jarur Pade:
Step13: Jaise hi aap I Accept per click karenge apki sabhi videos ke samne is tareh ka Green Dollar ka Sign aa jayenga, Green Dollar ka Sign aane ka matlab hain ki aapki videos ke upar Google ke ads Lag Chuke hain, ab un ads ko apke Google adsense ke account se Jodte hain, ya Google Adsense ke liye apply karte hain.
Is Post Ko bhi Jarur Pade:
Step14: Dubara se Channel per click karke usi page me jaaye aur PAID CONTENT ke samne ke ACTIVE ADSENSE ACCOUNT ke Link per Click kariye.
Step 15: Next Ke button per click kariye.
Step16: Ab apke samne Google Adsense ki website khul jayengi .Agar apka Pehle se Google Adsense ka account hain to Sign In per click kariye, aur apne Gmail ke account se Login Ho jaiye,  agar nahi hain to Create Account per click kariye.
Step17: Apke samne is tareh ka page khul jayenga, ab Continue per click kariye.
Step 18: Ab apke samne ek form khulkar aa jeynga, aapko is Form ko acche se bharna hain, aur apni sabhi details ek dum correct-correct dalni hain, pura form bharne ke baad apko Submit Application per click kar dena hain, ab aap 24 Hours ka wait kare, apka Adsense account activate kar diya jayenga.
Dosto ek bar Google Adsense ka account activate ho jaye uske bad apko kuch nahi karna hain, bus apni new videos Upload kare aur Instructions follow kare, aur apni har ek video ko monetize kare.
Dosto apko meri yeh post kaisi lgi  mujhe comment karke jarur btaye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]
disawar satta king