[an error occurred while processing the directive]

Internet ki speed kaise badaye

Internet ki speed kaise badaye
इन्टरनेट की स्पीड कैसे बढाए

Internet ki speed kaise badaye 7

Agar aap 2G internet Use karte hain, aur 2G ki speed se pareshan aa gye hain to yeh post aapke bahut kaam aa sakti hain. Specially yeh post 2G speed ko badane ke upar hain. Mobile aur Dongle Users is Trick ka istemal apne Internet ki speed ko badane me kar sakte hain, India me Internet ki Speed ko lekar kafi sare problems aate hain. Aur yeh kehna bhi Sahi rahenga ki India me 2G users bhi kafi saare hain. 2G users wo hain jo 3G ya Wifi Internet Plans kharid nahi sakte. To Chaliye jante hain Internet ki Speed kaise badaye. Agar apko yeh post acchi lage to Post padne ke baad comment karna na bhule. Warna baat wohi ho jayengi ki Service le gye per Service lagi kaise wo btaya hi nahi, Isliye is post se Related apna Feedback mujhe jarur de, aur sath me agar apko kisi aur chij ke bare me bhi janna hain to comment box me likh de ,mai apni taraf se puri koshish karunga ki mai us chij se related koi post apke liye likh pau.

Is Post ko bhi jarur pade:

90,000 Rupiye mahina kaise kamau

Mobile Users Internet ki Speed kaise badaye

Yeh to common si baat hain ki Mobile Users ki sankhya bahut jyada hain. Aur mobile me 2G istemal karne wale logo ki bhi sankhya bahut jyada hain. Agar aap bhi unhi me ek hain to aap is trick ki help se apne 2G internet ki speed ko bada sakte hain. ( Note: Kuch Samsung mobiles me yeh trick work nahi karengi). Ya fir agar aapne apne mobile me 3G internet dalwaya hain aur apko uski Puri speed nahi mil paa rahi hain to aap bhi is Trick ki help se apni Internet Speed ko bada sakte hain.

Sabse pehle apne mobile ke Dial Paid me ek code likhiye ( *#*#4636#*#* )

Ab aapke samne ek page khulkar aagya hoga, Isme sabse Upar wale option PHONE INFORMATION ko select kariye.

internet ki speed kaise badaye 2

Jo dusra page khulkar aayenga usme Sabse niche aapko GSM ONLY ya GSM /CDMA AUTO (PRL) ya LTE/ GSM AUTO (PRL) , in teeno me se koi bhi ek dikhai denga. ab aapko us GSM ONLY ke upar click karna hain.

Internet ki speed kaise badaye 3

Is Post Ko bhi jarur pade:

IRCTC Ki Website se Confirm Tatkal Ticket Kaise Book Kare

WIFI Ka Password Kaise Pata kare

Ab aapke samne ek List khulkar aa gai hogi, Is List me Apko WCDMA ONLY wala option dhundna hain, aur usper click karke usko select kar dena hain.

Internet ki speed kaise badaye 4

Dekhiye jab aap select karenge to apko GSM ONLY ki jageh WCDMA ONLY Likha dikhai denga.

Internet ki speed kaise badaye 5

Ab aap dekhenge apke mobile ke sare Networks 10second ke liye gayab ho gaye hain, uske bad apke Mobile me 10 second baad firse Network aa jayenge.

Lijiye ab apka mobile Fast Internet Use karne ke liye taiyar ho chuka hain. Ab aap apne mobile me 3G speed se Internet Chalaiye.

Dongle Users Internet Ki Speed Kaise Badaye

Ab chaliye baat kar lete hain dongle users ki, Jo log Dongle ka istemal karte hain, aur Dongle me 2G internet chalate hain ya Fir agar wo 3G internet chalate hain, per unko sahi Internet Speed Nahi mil paa rahi hain, to Yeh trick unke kaafi kaam aa sakti hain.

Sabse Pehle apne Dongle ko Apne Laptop ya Desktop se Connect kariye. Dhyan rahe apko Dongle bus connect karna hain, abhi apko Internet Connectivity chalu nahi karni hain.

Ab aapko apne dongle ki settings me kuch chije change karni hain. Niche diye Signs ki help se apne Dongle Ki setting me jaaiye.

TOOLS >>>>> OPTIONS >>>>>> NETWORK SELECTION

Is Post Ko bhi jarur Pade:

Youtube Se Paise Kaise Kamaye

Google Se Paise Kaise Kamaye

Jab aap Network Selection wale page per aa jayenge to aapko waha Network Type per click karna hain aur GSM ONLY ko WCDMA ONLY me Change kar dena hain. aur APPLY ke button per click kar dena hain.

Internet ki speed kaise badaye 1

Ab firse apne Dongle ke dashboard me aaiye aur ab apna Internet Apne Laptop se connect kariye. Lijiye apki Internet ki Speed badh chuki hain, ab Fast Internet ka faiyda Uthaiye.

I Think meri yeh Trick Mobile aur Desktop dono users ko acchi lagi hogi, Is chij se related agar koi Query ya Question ho to aap mujhe comment Box ke through puch sakte hain. Post ko Facebook, twitter e.t.c sites per Share kariye, Thanks

Comments

  1. Reply

    • By Abhishek malik

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]
disawar satta king