[an error occurred while processing the directive]

Blogger Blog ke custom menu ko customize karna

Blogger Blog ke custom menu ko customize karna
ब्लॉगर ब्लॉग के कस्टम मेनू को कस्टमाइज करना

blogger blog ke custom menu ko customize karna

Kuch blogger apne blog me custom menu lagate hain, ya kuch bloggers apne blog ki template change karte hain jisse unke blog me ek custom menu bankar aa jata hain, Jisme pehle se hi kuch Menu create rehte hain. Newbie blogger ise dekhkar ghabra jate hain aur sochte hain ab ise apne blog se kaise hataye, ya isko kaise edit kare. Dosto to aajka humara topic hain Blogger blog ke custom menu ko customize karna .

Mere is blog me meri yeh dusri sabse badi post hogi kyuki mai chahta hu ki mai apne readers ko kamse kam sabdo me ek acchi jankari provide karwa saku. jo unke liye kafi helpful ho, Jyada Post na padte hue unko apni problem ka solution easily mil jaye, Blogger Blog ke custom menu ko customize karna bahut hi easy hota hain, agar apke Layout me iska Widget bankar aata hain to aap waha se isko change kar sakte hain, other wise apko HTML codings add karni hoti hain. uske liye apko apne blogger blog ke HTML coding page me jana hota hain.

Blogger Dasboard >>>>> Template >>>>> HTML

Template ko edit aur customize karne ke liye ek bahut hi simple tarika btata hu. dhyan se samjhiye aur isko follow kare. kyuki mai nahi chahta ki aap apne template ki coding ke sath jyada chedkhani kare. Kyuki aap Newbie hain agar thodi si bhi galti kar di to apki puri template kharab ho sakti hain. Isliye mai apko apke template ke hisab se hi coding karna btaunga. jo apke liye easy bhi hoga aur bahut faidemand bhi hoga.

Example ke tor per maine ap logo ko smajhane ke liye ek Blogger blog banaya hain. ab maine waha ek Custom Template bhi laga di hain. agar apko janna hain ki BLOGGER BLOG ME CUSTOM TEMPLATE KAISE LAGAYE to yeh post padhiye.

Sabse pehle mai apko us blog ki ek pic dikhata hu ki wo blog kaisa hain.

blogger blog ke custom menu ko customize karna 1

Isme aap dekh rahe hain pehle se hi ek menu create hokar aaya hain, isme alag alag Naam se Labels bhi bankar aa gye hain . jaise ki BLOG, TECHNOLOGY, BUSINESS, e.t.c

Menu bhi kafi type ke hote hain.
1: Normal Menu
2: Dropdown Menu

Yeh Post bhi jarur pade: Blogs Ki Template Kaise Pata kare aur Kaise Customize kare

Abhi upar wali pic me apne Normal Menu bar dekha hain. Ab Drop down Menu kaisa hota hain uski pic aap niche dekh lijiye.

blogger blog ke custom menu ko customize karna 2

Yaha aap dekh rhe hain ki Blog ke upar cursor le jaane per kuch Topics aur khulkar aa gaye hain, ya yeh kehle kuch Labels aur khulkar aa gaye hain. Isi ko Dropdown menu kehte hain. Blogger Blog ke custom menu ko customize karna matlab inhi labels ko customize karna hain.

Ab aap sochiye apko apne blog me kaisa menu rakhna hain, Normal menu ya Normal menu ke sath-sath dropdown menu bhi rakhna hain. Kher jaisa apko rakhna hain aap usi hisab se rakh sakte hain. isko edit karna mai apko smjha deta hu.

Yeh Post bhi jarur pade:

5 Simple Steps me jane ek acchi Blog post kaise likhe

Simple tarike se isko edit karte hain. Sabse pehle dekh lijiye ki Menu bar me kis kis nam se Labels bane hue hain, Jaise mere Menu bar me BLOG, TECHNOLOGY, BUSINESS e.t.c Naam se Labels bane hue hain. to apko yeh labels inhi naam se apni HTML Coding me search karne hain. iske liye apne Blog ki HTML me jaiye.

Blogger Dasboard >>>>> Template >>>>> HTML

CTRL + F press kariye, ek search box bankar aa jayenga waha apko Labels ka naam dalkar search karna hain. Jaise ki mai TECHNOLOGY naam dalkar search karunga.

blogger blog ke custom menu ko customize karna 3 - Copy

Yeh dekhiye aapka Menu Bar ka coding khulkar aa gya. Ab apko yaha bus TECHNOLOGY nam ko edit karna hain aur uski Jageh jo Naam likhna hain wo Likh dijiye. waise hi mai Sabhi Labels ke naam change kar deta hu jaise ki BLOG, TECHNOLOGY, BUSINESS e.t.c . In sabke naam change karke mai apne hisab se Rakh leta hu. Blogger Blog ke custom menu ko customize karna me yeh bahut hi important part hain.

Yeh Post bhi jarur pade:

Blogger blog ka Backup kaise banaye

blogger blog ke custom menu ko customize karna 3

Yeh dekhiye maine sab Menu bar Ke naam edit kar diye hain aur Dropdown Menu bar ko Hata dia hain, mai apni site me Dropdown menu nahi rakh raha hu. niche 2 pic me dekhiye maine coding aur site per naam badal diye hain.

blogger blog ke custom menu ko customize karna 4

blogger blog ke custom menu ko customize karna 5

Agar aap apne Blog me Dropdown Menu bhi add karna chahte hain to aap kar sakte hain uske liye aapko Apne menu ke isi coding link ke aange bs
[CODING]
Add kar dena hain.

Yeh Post bhi jarur pade:

90,000 rupiye mahina kaise kamaye

jaise ki mai BLOGGING WALE menu ke niche SEO ka dropdown add karna chahta hu to mera Coding aisa hoga.

Dropdown coding code:

SEO

ab aapko is Coding ko BLOGGING ki coding ke
wale part se pehle paste kar deni hain. for example niche mai apna BLOGGING wala coding likh raha hu.

BLOGGING

Ab isme last me jo
hain usse pehle mujhe Dropdown wala code add karna hain jo upar dia gya hain. Code add karte hi coding aisi dikhai dengi.

BLOGGING

SEO

Ab aap samjh gye hnge ki kaise DROPDOWN Menu ki coding add karni hain. Blogger Blog ke custom menu ko customize karna me yeh coding sabse jyada istemal hoti hain. ab dekh lijiye meri site per drop down Menu aa gya hain. aur maine coding bhi add kari hain. niche 2 pic me dekhiye.

blogger blog ke custom menu ko customize karna 6

blogger blog ke custom menu ko customize karna 7

Yeh to aapne apna menu bar Edit kar liya hain, ab isme Apne labels ke link add kar leta hain. Labels ke link add karne ke liye apko isi coding me url ki jageh apna Lables ka Link add karna hain.

Yeh post bhi jarur pade:

Youtube se paise kaise kamaye

Post likhte time apne apni posts ko alag alag labels me add kiya hoga, Blogging se related Post Blogging wale label me aur SEO se related post SEO wale label me. isi tareh alag alag Labels banaye honge, to aapko apni Koi bhi ek post kholni hain. Jaise ki mujhe pehle blogging wale Menu me apni Blogging wale Labels ki post add karni hain. to mai apne Blogging ka koi bhi post khol leta hu. aur usi post me sabse upar apko Blogging wala Label bhi dikahi de jayenga. Niche pic me dekhiye. apko bus apne Label per click karna hain. fir apko apke Blogging ya Jo bhi label apko add karna hain uska Link mil jynga. menu ko customize karna isi link per depend karta hain.

blogger blog ke custom menu ko customize karna 8

blogger blog ke custom menu ko customize karna 9

Link ko copy karke coding me le jakar url wali jageh per paste kar dena hain.

blogger blog ke custom menu ko customize karna 10

blogger blog ke custom menu ko customize karna 11

bus isi tareh apko apne sabhi labels ke links add karne hain jisse menu ko customize karna easy ho jayenga. fir jab bhi aap apne label me koi bhi post dalenge. wo automatic apke menu bar me aa jeyngi.

Yeh post bhi jarur pade: Google Adsense se India me sabse jyada kamai karne wale top 5 blogs

Koi bhi coding likhne ke bad SAVE TEMPLATE jarur kare. isse apki coding save ho jayengi. aur ek bar SAVE karne se pehle uska preview jarur dekhe.

To dosto post thodi bhari ho gai, per mai asha karta hu apko meri yeh post bahut acche se samajh aai hogi. isme maine bahut hi easy tarike se Blogger blog ke menu ko customize karna sikhaya hain. agar apko meri yeh post Blogger Blog ke custom menu ko customize karna acchi lagi hain to please ise share kare .

Post se related koi bhi query ya jankari chahiye to ap comment karke mujhse puch sakte hain.

Comments

1. Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]
disawar satta king