GOOGLE Se Paise Kaise Kamaye
Google से पैसे कैसे कमाए
India me agar hindi me sabse jyada search kiya jane wala keyword hain to wo hain Google se Paise kaise kamaye, aur yeh hona bhi chahiye, kyuki ajkal advanced jamana hain, sabko extra money ki jarurt hoti hain, aur sab jante hain ki online paisa kamaya ja sakta hain, but logo ko isko knowledge nahi hain, kyuki unko koi btane wala jo nahi hain, isliye wo Google per search karte hain. But year 2014 se pehle aisa nahi tha, mere kehne ka matlab tha ki 2014 se pehle kuch gini chuni hi websites aisi thi jo apko hindi me jankariya provide karwati thi, per 2014 me jaise hi google adsense ne Hindi language ko support karna start kar diya to internet per hindi websites ki ek baadh ( FLOOD ) si aa gai, aur yeh acchi baat bhi hain, kyuki jitna jyada competition hoga utna jyada hi sikhne ko aur earn karne ko milenga. To dosto Agar aap bhi Google se paise kamana chahte hain to aapke liye yeh ek bahut hi accha moka hain. India ki aadhe se jyada generation English language acche se nahi janti, isliye wo na english me kuch samajh pate hain aur na likh pate hain, unko jarurt hain Hindi jankari ki, agar apke pas kuch aisa hain jo aap dusro ke sath share karna chahte ho to aap Google se paise kama sakte hain. aaiye jante hain kaise.
GOOGLE Se Paise kaise kamaye.
Actually dosto Google ki ek service hain GOOGLE ADSENSE ke naam se, GOOGLE ADSENSE aapko paise deti hain. aur yeh paise kaise deti hain, wo jaan lete hain.
Website Banakar Paise kaise kamaye
Dosto GOOGLE ADSENSE tab kaam karta hain jab apki koi website hoti hain, ab aap sochne lage honge ki yeh apke baski baat nahi hain, aapne abhi se haar maan li hogi, sirf ek WEBSITE ka naam sunkar, aisa mat sochiye abhi aap pehle puri post to padhiye . Dosto agar apke pas koi website hain, aur us website per bahut Traffic ata hain, Traffic se matlab hain ki bahut sare log apki websites per aate hain, to aap waha GOOGLE ADSENSE ki service ka istemal kar sakte hain aur paise kama sakte hain, GOOGLE ADSENSE apki websites per apne advertise laga denga, aur jab bhi koi visiter apki website per aayenga aur un Advertise per click karenga to aapko uske badle me paise milenge. yeh Thik waisa hi hain jaise TV me advertise aate hain, kyuki TV to sab log dekhte hain, to waha sabse jyada log hain, isi wajeh se waha advertise aate hain. agar aapko bhi Google Adsense se paise kamane hain to apke pas ek website aur ek accha traffic hona jaruri hain.
Note: Blog Se Paise Kamana Chahte Hain to Dhyan Rakhe Yeh Jaruri Batein
5 Simple Steps me Jano Ek Acchi Blog Post Kaise Likhe
BUT sir mere ko to website banani hi nahi aati
Yeh question ab apke dimag me jarur chal rha hoga, koi bat nahi dosto agar apko website banani nahi aati, website banana koi bahut kathin kaam nahi hain, aap bs 5min ke andar apni khudki website bana sakte hain aur Google adsense se paise kama sakte hain.
5min me website kaise banau?
Ab mere is 5min keh dene se sab log sochne lage honge ki mai ya to apko pagal bana raha hu ya jhut bol raha hu, aaiye chaliye jante hain 5min me aap kaise website bana sakte ha.
Dosto GOOGLE ne Blogger ke naam se ek Service chala rakhi hain, jaha aap 5min me apni website bana sakte hain aur usko LIVE kar sakte hain, is service ke GOOGLE apse koi bhi paise nahi leta hain, yeh bilkul free service hain. aap yaha aapni website ya blog bana sakte hain, aur aapko jis bhi chij ki jankari hain uske bare me yaha likh sakte hain, dosto website ka matlab yeh nahi hota ki usme Videos aur Gaane hi dale jaye, website bahut prakar ki hoti hain, jaise ki Games se related websites, Story se related websites, Cartoon se related websites, Jokes se related website, e.t.c , agar aapke pas koi hunar hain, aap kuch aisa jante hain jo koi nahi kar sakta uske bare me aap website per likhiye, aur logo ko btaiye, Jin logo ko aapme kuch sikhna hoga wo log apki website per ayenge aur apki post ko padenge. Tab aap apni website per GOOGLE ADSENSE ke advertise lagakar paise kama sakte hain.
Agar apko blog banana sikhna hain to aap meri yeh post padh sakte hain- Blog/ Website kaise banaye
Kya mai Google Adsense ki service ko Youtube per istemal kar sakta hu,
Youtube se Paise Kaise kamaye
Ji haan, Aap GOOGLE ADSENSE ka Youtube me istemal karke , Youtube se bhi paise kama sakte hain, GOOGLE ADSENSE apni service Youtube me bhi deta hain. agar aapke pas koi unique video hain to aap use youtube me upload kar sakte hain aur lakhon rupiye mahina kama sakte hain , sirf ek video se aap lakhon nahi kama sakte , apke pas bahut sari videos honi chahiye apke youtube Channel me, jiske madhyam se aap paise kama sakte hain, yeh ek accha tarika hain Youtube se Paise kamane ka.
Agar aap Youtube se paise kamana chahte hain, aur Youtube per aapna Channel banana chahte hain to aap yeh post padhiye.-Youtube se Paise Kaise kamaye.
Note: Mobile Se Paise Kaise Kamaye 2 Best Andriod Apps
To dosot aap in 2 tariko se Google se paise kama sakte hain, Google Adsense ek trusted service provide karti hain, Jaha Fraud ka koi Sawal nahi uthta hain, Aap Google adsense per pure yakin se vishwas kar sakte hain, aur iski Service ka istemal paise kamane me kar sakte hain.
Dosto mai apne is blog me apko wo sab tarike btaunga jisse online paise kamaye ja sakte hain, EK website ko Hit kaise kare, Kaise us website ko famous kare yeh sab tarike mai apne is blog me apko btaunga, Agar aap apni website banana chahte hain to mere is blog se Judhiye aur mere se sawal puchiye, Apke sawal mujhse motivate karenge, Taki mai apke liye aur posts likh saku, To dosto sochna kya hain abi comment kare aur sawal puche..