[an error occurred while processing the directive]

Business Ko Uchaiyo Tak Kaise Lekar Jaaye

Business Ko Uchaiyo Tak Kaise Lekar Jaaye
व्यापार / बिज़नेस को उचाइयो तक कैसे लेकर जाये

 

Agar aap business karte hain, ya business karne ki soch rahe hain, to aap bilkul sahi post ko padh rahe hain, is post ko padhne me muskil se 10 se 15 minute ka time lagenga per agar aapne pure dil se is post ko padh liya to kya pata yeh post aapke sapne me char chand lga de, ya kya pta aapke business ko bada de, ya kya pta apke business ko india se bahar dusri countriyo tak pahucha de, bus mere kehne se aap is post ko 15min de dijiye uske baad ap jo chahe wo kariye.

Dosto mere ko is business se related kafi sare searches mile hain jaise ki, apna business kaise kare, business kaise kare in hindi, cloth ka business kaise kare, koi business kaise kare, mai apna business karna chahta hu, kafi log yeh words use karke meri sites per aaye hain, aur humesha yeh log isliye meri site per aate hain taki unko meri site per business se related kuch post mil jaye, to dosto ab nirash hone ki jarurt nahi hain, mai aap sabhi logo ke liye yeh post lekar aa gaya hu, jo log apna business ya to karna chahte hain, ya apne business ko uchaiyo tak pahuchana chahte hain.
Kafi sare log aise hain jo Business to kar lete hain per us business se koi kamai nahi kar pate, kehne ka matlab hain ki unka business ek flop marg ki taraf badne lagta hain, kher choriye business me to yeh sab chalta rehta hain, business me risk or profit dono hote hain, agar aaj profit hain to kal loss hoga aur agar aj loss hain to kal profit bhi hoga. chaliye aaj mai apni is post ke madhyam se apko bta deta hu ki kaise aap apne business ko bada sakte hain, aur apne business se mahine me lakhon rupiye bhi kama sakte hain. to dhyan se padhiye.

Business se lakhon rupiye kaise kamau
 
 

Aksar har insaan ki yahi khuwaiysh hoti hain ki uske business se usko lakhon ka profit ho, aur aisa hoga bhi jarur, dosto agar apka koi bhi business hain, jaise ki kapdo ka, bartano ka, statonary, books shop, mobile shop, every thing kuch bhi, aur agar wo loss me chal rha hain ya aap use aur aage badana chahte hain to dosto aab apko offline business per dhyan kam or online business per dhyan jyada dena hoga, ji haan aap sahi samjh rahe hain mere kehne ka yahi matab hain ki aapko apne business ko online karna hoga, matlab ki apne business ko internet me lana hoga.
Per mai to Internet me business ke bare me kuch bhi nahi janta.

Agar aap aisa soch rahe hain tab bhi koi baat nhi, agar aap nahi jante to jaan jayenge, bus pahel to start kariye, mai apse yeh nahi keh rha ki aap apni khudki website banaiye aur usme apna saman bechiye, mai apse bus itna keh rha hu ap apna saman online bechiye.

Mai Apna Saman Online Kaise Bechu.
 
 

Dosto aapne 3-4 aisi websites hain jinke naam bahut acche se sune honge ya tv per unke advertise dekhe honge, unke naam hain flipkart, Amazon, Ebay, Snapdeal e.t.c .
kya apko pata hain aap in websites me apna saman bech bhi sakte hain. Darasal me yeh website khud apna saman nahi kharidti hain, in websites me kapdo se lekar mobile tak kuch bhi apna nahi hain, yeh sab saman to aap jaise sellers logo ka hi hain, jinki apni khudki dukan hain, wo log yha flipkart, amazon, ebay, snapdeal ke madhyam se apna saman bechte hain,aur india ke har kone me unka saman becha jata hain.

In websites ke madhyam se Varansi me bethe saree shop wale log India ke har kone me apni sarees bechte hain, kashmir se lekar kanya kumari tak, Agar aapki bhi koi shop hain to aap in websites ke thorugh apna business ko bada sakte hain.

Per Mai In Websites Se Profit Me Kaise Aaunga Ya Mai Apne Business Ko Kaise Bada Paunga

Yeh apka bilkul sahi question hain, dekhiye abhi apki dukan kaha hain, sirf ek elake me, aur apki dukan bus us elake ke kuch area ko hi cover karti hain, matlab apki dukan bus us area tak simit hokar reh gai hain, but agar aap in websites me apni dukan ko le aaye to, apki dukan india ke har kone me pahuch jayngi, Kashmir me betha insan apki shop se saman ko kharidnga. jaha aapki ek mahine ki sale 5000-10000 rupiye hoti hain, wahi apki sale lakhon me pahuch jayengi.
India ke kafi sare sellers in websites ke sath judkar apne business ko uchaiyo tak pahucha chuke hain, pehle unka business nahi chalta tha per aaj wo apne business ki badolat ek naye mukam per hain.

Per Isse In Websites Ko Kya Profit

Haan in websites ko bahut profit hain, yeh websites aapse apka jo bhi saman bikenga usme se 10-20% ka commission lengi, aur apka saman puri india me bikenga.  NA advertise karne ki jarurt aur na pamplet chapwane ki. bus in websites se jud jaiye aur apne business ko mukam tak pahucha dijiye.
Yaha per kon-kon log apna saman bech sakte hain
yaha per koi bhi apna saman bech sakta hain, agar aap saman banate hain to bhi ap apna saman bech sakte hain, agar ap kahi se kharidte hain to bhi aap apna saman bech sakte hain, agar aap business woman hain to aap bhi apna saman bech sakte hain, kapdo se lekar bartan tak, hath se bane hue samana bhi aap yha bech sakte hain, handicraft etc.

Mai In Websites Me Kaise Judu.
 
 

Aap inme se koi bhi ek website kholiye aur usme aap sabse upar  dekhiyenga waha side me kahi SELL ka option hoga , bus usper click kariye aur apna account yha bana lijiye.
yha mai kuch steps de rha hu apko, jinki help se ap apna account bana sakte hain.

1: sabse pehle sell ke button per click kariye.
2: apne products ki puri information bhariye ki aap yaha kya bechna chahte hain.
3: form fill karne ke bad thore din tak wait kariye jab tak apka form approve nahi ho jata.
4: jab apki application approve ho jayengi uske baad ap apna saman in websites per photo khichkar upload kariye.
5: aur fir profit kamaiye.

ab sawal uthta hain ki mai iske bare me kuch bhi nahi janta ki kaise saman ka photo upload karna hain aur kaise saman bechna hain.
 

Koi baat nahi, isme bhi websites wale apki help karenge, apke seller ke account me apke account manager ka contact number or email id hoga, unko email likhiye ki aap kuch samajh ni pa rahe hain apki help kare, bus 2-3 ghante ke andar apka account manager apko phone karenga aur apko sab btayenga ki apko kaise kya karna hain, apko video training bhi di jayengi.

ab main baat aati hain ki saman bechne ke liye yha documents kya-kya lagenge.
 
 

aapke 2 documents yaha lagenge
1: PAN CARD
2: TIN / CST number  ( kuch website me sirf TIN number se bhi aap saman bech sakte hain)

Ab kuch logo ka yeh kehna hoga ki humare pas PAN CARD to hain per TIN / CST nhi hain, to isme me apko tension lene ki koi jarurt nahi hain, aap EBAY me apna saman bechiye, EBAY WEBSITE sirf PAN CARD document mangti hain aur ek CANCIL CHEQUE ki pic. uske baad ap waha apna product asani se bech sakte hain.

ADHIK jankari paane ke liye aap in sabhi websites ke customer care number per call karke jankari paa sakte hain.
jab apka account yaha approve ho jayenga aur sari documents verification ki process puri ho jayengi tab apko apne products ki pic khichkar yaha upload karni hain, fir jab bhi koi customer  apke saman ko kharidenga to apko bus use pack karna hain, fir inhi websites ke courier boy apke shop ya ghar me ayenge aur wo saman lekar chale jayenge.

Mai asha karta hu ki meri is post se apke business ko ek naya mukaam mile, agar meri yeh post apke liye kuch bhi faiyda lekar aai hain to please apna anubhav hmare sath share kare, hume apke jawab ka intejar rahenga.

To dosto apko mera yeh post business ko uchaiyo tak kaise lekar jaye kaisa laga, mujhe jarur btaye, agar apka koi bhi sawal hain to aap comment me likh sakte hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]