[an error occurred while processing the directive]

Kaise Google me Apni new Blog post Fast Index kare

Kaise Google me Apni new Blog post Fast Index kare

कैसे google में अपनी new ब्लॉग पोस्ट fast इंडेक्स करे

google me apni new blog post fast index 3

 

hello dost, Aaj ka topic kafi intresting hain, Yeh topic Seo aur Google Indexing se related hain. Agar aap acche se is Post ko padenge to Apko Google me Apni new blog post fast index karne me Bahut hi help milengi.

Pehli baat to dosto aap blogging karte hain. aur mai janta hu aap apni ek blog post likhne me kitni mehnat karte hain. Din rat sochkar aur searches karke aap apne readers ke liye ek acchi blog post lekar aate hain. aap apni blog post ka acche se SEO bhi karte hain lekin uske bad bhi apki New blog post Google me index nahi ho pati. aisa kyu?

aap humesha sochte hain ki
“why google not indexing my new posts” means Kyu google meri new posts ko index nahi kar raha hain.

“new post not getting indexed by google” means New post Google me Index nahi ho rahi hain.

“how to index my blog post faster” means kaise google me apni new blog post fast index kare

To aaiye dosto aaj inhi sab chijo ko jante hain, aur jante hain ki kaise google me apni new blog post fast index kare.

Kaise Google me Apni new Blog post Fast Index kare

Sabse pehli baat to aapko apni har ek blog post likhne se pehle uski acche se jankari collect karni chhaiye, apko apni blog post ke liye acche keywords ki research karni chahiye. aap Keywords research karne ke liye GOOGLE KEYWORDS TOOL ka istemal kar sakte hain.

Content writing per bahut dhyan de. Koshish kare humesha 800+ words me ek blog post likhe.

Roj ek new blog post likhe, kosish kare Blog post likhne me jyada din ka gap na aaye.

In topics ko bhi pade yeh content writing aur kaise ek acchi blog post likhe isme apki bahut help karenge:
5 Simple steps me jane ek acchi blog post kaise likhe
Blog se paisa kamana chahte hain to dhyan rakhe yeh jaruri batein

Apne blog ke liye quality backlinks banaye

google me apni new blog post fast index 1

Google me apni new blog post fast index karne me Backlinks kafi ahem roll nibhate hain. jyada se jyada backlinks banaye. aur koshish kare aap hmesha top rank wale blogs se hi backlinks banaye. backlinks banane ke kafi tarike hain. jinme se kuch mai apko bta raha hu.

1: Aap dusro ke blog me Guest Posting kare.

2: Dusro ke blog me comment kare. comment humesha puri blog post padhne ke bad hi kare. taki apko knowledge bhi mile aur apko pata bhi chale ki wo apko kis chij ke bare me bta rahe hain, aise hi nice post thanks likhkar comment na kare. isse apka time to kharab hoga hi aur blogger bhi pehchan jayenga ki aap backlink banane ke maksad se aaye hain, to ho sakta hain wo apka comment delete kar de. isliye aisa comment kare ki blogger ko khushi bhi ho aur apko ek backlink bhi mil jaye.

3: Directories me apna blog submit kare.

4: Forums ka Istemal kare. waha topics create karke baatein kare. logo ko apni site ke bare me btaye.

5: Apni blog post me apni dusri blog posts ke links bhi add kare.

6: Ek accha content likhe. taki dusre logo ko pasand aaye aur wo log apke blog me wapas aaye.

Yeh Posts bhi jarur pade:

Other blogs ki templates kaise pata kare aur templates kaise customize kare

Blogger blog ke Custom menu ko customize karna

Social Networking websites ka istemal kare

google me apni new blog post fast index 2

 

mai ni janta apko is bare me pata hain ya nahi, per mai apko bta du ki social networking sites bhi apke blog ko ek high quality backlink deti hain.

Facebook: Facebook ki alexa rank 3 hain, facebook per apni new blog posts share kare, jisse apko kafi accha traffic milenga. Facebook ek accha way hain big traffic paane ka.

Twitter: twitter ka alexa rank 3 hain, yeh bhi ek high rank website hain jo apko ek acha backlink de sakta hain, iska bhi istemal kare.

isi tareh Google plus, linkedin,tumblr, stumbleupon yeh sab websites bhi apko ek accha quality back link deti hain.

In Posts ko bhi jarur pade:

Blogger Blog me custom menu kaise lagaye

90,000 rupiye mahina kaise kamau

Agar aap yeh sab tarike use karte hain to mai damn sure hu ki aapki new blog post google me fast index karengi. aur aap dekh payenge ki google se apko ek big traffic aa raha hain.

Dosto asha karta hu apko mera yeh blog post ” Kaise Google me Apni new Blog post Fast Index kare” accha laga hoga. isko share kare aur koi problem hone per aap mujhse comment ke through puch sakte hain.

Comments

  1. Reply

    • By Abhishek malik

      Reply

      • Reply

        • By Abhishek malik

          Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]