[an error occurred while processing the directive]

Bhukamp se apne parivar ko kaise bachaye

Bhukamp se apne parivar ko kaise bachaye
भूकंप से अपने परिवार को कैसे बचाए

bhukamp detector (2)

Aajkal apne bhukamp ki kafi sari new suni hogi, aur dekha bhi hoga ki ajkal bhukamp kitni badi sankhya me aa rha hain. Pichle saal ki hi baat kar lete hain. Pichle saal nepal me kitna shaktishali bhukamp aya tha, jisse lakhon hajaro logo ki death ho gai thi. yeh safi shocking aur kafi buri khabar thi.

Isse pehle bhi kafi jageh bhukamp se huye nukshan ki jankari apko milti rahi hogi. aur wahi apko bhi kahi na kahi bhukamp se dar bhi laga rehta hoga.

Din me agar bhukamp aata hain to 80% chances hote hain ki aap bach jaye aur apne parivar ko bhi bacha le, per agar rat me bhukamp ata hain to yhi chances 10% per aa jate hain. kyuki raat me har koi nind me hota hain jisse bhukamp ke aane ka pata nahi chal pata.

To dosto agar aap bhi is chinta se ji rahe hain to ab chinta karne ki jarurt nahi hain, aajki post bhukamp se apne parivar ko kaise bachaye isi baat per hain ki aap apne parivar ko bhukamp se hone wale nuksaan se bacha sakte hain.

waise market me kafi sare detector moojud hain. jinko ghar me lgane se bhukamp ke aane ke time per apko wo alaram baja kar alert kar denge. per market me moojud in detectors ki kimat itni high hain ki ek garib ya medium varg ka insan isko kharid nahi sakta. market me yeh detector 3000 rs se lekar 10000 rs tak ki range me moojud hain. per inke itna mehnge hone ke karan aam log isko kharid nahi sakte.

Is post ko bhi jarur pade:

Mobile se delete hue data ko kaise recover kare

90.000 rupiye mahina kaise kamau

Bhukamp detector kya hota hain?

Bhukamp detector ek device hota hain. jo ki aapke ghar me lagaya jata hain. yeh apke ghar ki diwar per fit kiya jata hain. jab bhi kabi bhukamp aata hain aur diwar me kampann mehsus hoti hain to yeh detectors un kampano ko pakad lete hain. aur fir inme lage alaram jor jor se bajne lagte hain. jisse nind me so raha insaan me jaag jata hain.

Ise ghar me lagane se kya faida hain?

Ise ghar me lagane ka sabse bada faida yeh hain ki raat ke time bhi apke bhukamp se bachne ke chances 10% se sidha 80% per aa jate hain. kyuki jab bhi bhukamp aata hain yeh detectors alarm bajakar apko alert kar dete hain. jisse aap ghar se bahar bhagne me safal hote hain.

In detectors ko lagane ka ek aur fayda hain, wo yeh ki jab bhi yeh detectors alarm bajyenge to aap yeh nhi sochenge ki kya hua hain. ap sidha yeh sochenge ki bhukamp aya hain. aur aap apne apko aur apne parivar ko bacha payenge.

mai Bhukamp detector kaha se kharidu?

waise aap bhukamp detector kahi se bhi kharid sakte hain . Online bhi kafi sare detectors bikte hain. per unki price hmesha 2000 se 10000rs ke bich me hoti hain. per agar aap yeh bhukamp detector kharidna chahte hain to aap hmare through bhi yeh kharid sakte hain. humne aam logo ki jarurt ke hisab se ek aisa detector taiyar kiya hain jo unke budget me ata hain aur pura unhi detectors ki tareh kaam karta hain jo market me moojud hain. mai to saaf saaf yahi kahunga ki market me moojud detectors bahut hi mehnge hain waha paise waste karne se accha aap humare through detector le le, jo apko kafi saste price per mil jayenga.

Humne jo detector banaya hain uska price humne 350 rs rakha hain. jo ki ek aam admi ki pahuch me asani se aa sakta hain. humara main maksad hain ki hum apko aur apke parivar walo ko bhukamp se hone wali haani se bachana. isi wajehse humne yeh detector taiyar kiya hain. Hum jitna cost kam se kam kar sakte the humne kar diya hain. aur ek perfect detector banakr taiyar kar diya hain.

Dosto ab sochiye mat ki kal ya 15din baad lunga. sirf 350rs ki baat hain joki apke parivar ki life se bada amount nahi hain, aaj hi humse contact kare aur apna detector kharide.

Bhukamp detector kharide ke jaruri nirdesh:-

Agar apko bhukamp detector kharidna hain to aap mujhe ek email kar sakte hain. email di mai niche de dunga, iske elawa aap comment karke bhi humse bhukamp detector kharid sakte hain. Comment box me apna email id aur apna mobile number dijiye. hum apse contact karenge .

Yeh post bhi jarur pade:

Internet ki speed kaise badaye

IRCTC ki website se confirm tatkal ticket kaise book kare

Paise kaise du: Apko detector ke paise humko Internet banking ke through dene hain. ya bank me jakar humare bank account me jama karne hain. sabse pehle apko hume ek email karna hain. uske bad jab hume lagenga ki aap detector kharidna chahte hain to hum apko apni bank detail provide kar denge.

Bank me paise dalwane ke bad apko firse hume apni bank ki rasid ke sath ek email karna hain, bank ki rasid ki ek pic khichiye aur hume apne pure address ke sath email kar dijiye. 2-3 din ke andar hum apka detector dispatch kar denge, jo apko 10 din ke andar apke diye gaye address se prapt ho jayenga. hum apko tracking details bhi provide karenge.

Address format:
Apka nam, Apka mobile number, apka pura address pin code ke sath.

yeh post bhi jarur pade:

Google se paise kaise kamaye

YOUTUBE se paise kaise kamaye

detector kaise lagaye:
Ek bar detector apko mil gaye uske bad apko ise apne ghar ki diwar per kahi bhi fit karna hain, dhyan rahe apko aisi jageh fit karna hain jaha aap sote hain, ghar ke darwaje se dur fit kare, taki darwaja band hone ki kampann se yeh bajne na lage, isko feviquik , fevicol ya chikni mitti ki help se aap diwar per fit kar sakte hain.

Jab kabhi bhi yeh detector bajenga to aapko bina time gawaye apne ghar se bahar nikal jana hain. bhukamp ke time per har ek second bahut jaruri hota hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]