पहली बार #OnlineDharna: Flipkart sellers ne Stock Out kiye products
पहली बार #OnlineDharna: Flipkart sellers ne Stock Out kiye products
Dharne aajtak normal life me hi dekhe gye hain, agar kisi ki koi maang puri nahi hoti to wo dharne per beth jata hain, ya agar kisi ke sath kuch galat hota to wo log Dharne per beth jate hain, Dharne per bethna koi Galat baat bhi nahi hain, yeh hamara hak hain. But ajtak kisi ne kabhi socha bhi nahi tha ki Dharne jaisi chij Online jagat me bhi kabhi hogi. Yeh sochna hi alag lagta hain ki Dharna aur wo bhi Online. Maine jab pehli bar yeh headline dekhi to mai khud shocked hua tha. Aur jab iske bare me pada to haan real me aisa hua hain. Isi wajehse maine socha kyu na yeh chij apke sath bhi share kari jaye.
In Post ko bhi jarur pade:
90,000 Rupiye mahina kaise kamau
Kaha aur kaise hue yeh #OnlineDharna
Desh ki janimani E-commerce website Flipkart ke sellers Return policy se na khush hokar aaj 20th june ko Flipkart per #OnlineDharna kar rahe hain. 1300 se jyada sellers Flipkart ki Return Policy se na-khush hain. Flipkart din per din apne rates badata ja raha hain, jisse sellers khush nahi ho rahe hain, Jab hi koi customer koi Item return karta hain to Flipkart Return Policy ke tahet Sellers se jyada commission le raha hain.
Isliye in sabhi sellers ne faisla kiya hain ki 20th june ko wo flipkart per apne sabhi products Stock Out kar denge, aur aisa hua bhi hain. Aap flipkart per jaakr dekh sakte hain kafi sare products Stock Out ja chuke hain. or internet ki duniya me #OnlineDharna aur #sellerQuitFlipkart hastag trend kar raha hain.
In post ko bhi jarur pade:
Mobile Se Delete Hue Data Ko Kaise recover kare
aakhir Sellers Naraj Kyu hain ?
Jab bhi koi Customer Flipkart se koi Product kharidta hain to usper aane wala pura kharcha jaise ki uski packing , tapping, shipping etc per flipkart sellers se jyada charge kar rhi hain.
Pichle time se Flipkart ne In return Policies per 10%-40% tak fee bada di hain, jisse Flipkart ke sellers per jyada dabab bad gya hain.
Flipkart ke sellers ka margin bhi kam ho gya hain, wo log ab products beche ya Flipkart ko jyada fee de isper pareshan ho rahe hain.
Flipkart ne return products per 90-180 rs tak fee bada di hain.
Yeh post bhi jarur pade:
Bhukamp Se apne parivar ko kaise bachaye
Blog se paise kamana chahte hain to dhyan rakhe yeh jaruri batein
aur sath me product ko return karne ka time bhi kam kar diya hain. jisse sellers na khush hain.
Agar flipkart ne is chij per jald action nahi liya to flipkart ke sellers flipkart ko chorkar dusri companies me apne products sell karenga, jaise ki amazon unke liye ek behtar vikalp hain.
Aaj 20th june ke din is #OnlineDharna ki shuruwat hui hain jo dekhne me atpata sa lagta hain per Yeh sellers apne hak ke liye kar rahe hain.
Mere ko to lagta hain ki History me yahi likha jayenga ki #OnlineDharna Flipkart ke sellers ne start kiya hain. Aap bhi is post aur #OnlineDharna per apni rai comment ke madhyam se jarur de.