[an error occurred while processing the directive]

5 Simple Steps Me Jaane Ek Acchi Blog Post Kaise Likhe

5 Simple Steps Me Jaane Ek Acchi Blog Post kaise likhe
5 simple Steps में जाने  एक अच्छी ब्लॉग पोस्ट कैसे लिखे 

Blogging me sabse jaruri aur important baat hoti hain blogger ka content Likhne ka dhang, Agar content Bekar aur aise hi Raddhi type ka likh diya to na padne wale ko maja aayenga aur na hi Blogger ko khud maja aayenga. Blog se Paise Kamane ke liye bhi Content ka accha hona bahaut hi jaruri hain, to chaliye aaj hum jante hain 5 simple steps me ek acchi blog post kaise likhe.

Blog post likhna ek kissan ke brabar hota hain, ek Kissan janta hain ki kaise khet me fhasal khadi kharni hain aur kaise us fhasal me kide lagne se bachana hain, aur kab-kab fhasal ko paani dena hain, kyuki jyada pani dene se fhasal kharab ho jati hain, aur kide ka dhyan na rakhne se bhi fhasal kharab ho jati hain,  thik waise hi blogging me Acchi post likhna bhi jaruri hain, agar acchi post likhoge to profit me jaoge aur agar post likhte time, content ka dhyan na diya to iska koi pta ni ki apka blog hit hoga. ho sakta hain yeh post lambi ho jaye, per 15min is post ko agar apne de diye to haan mai itna jarur kahunga ki agli baar ap yeh to samajh hi jayenge ki ek acchi blog post kaise likhe. Aur mai tab Proud karunga jab meri yeh post aapke kuch kaam aa jaye, isliye dhayan se padhiye aur haan mujhe btana na bhuliyenga ki post apko kaise lagi.

Step 1: Post Likhne se pehle uski acche se Planning kare

Ji haan Blog post likhne se pehle apko iski planning karni chahiye. ki aap kya likhna cha rhe hain aur usse apke viewers ko kya faida hoga, planning karne ke liye sabse pehle research kare.

Research: Jo aap topic likhne wale hain uske bare me jyada se jyada jankari ekhatta karna, kyuki bina jankari ke aap ek acchi blog post nahi likh payenge, aur aadhi adhuri jankari lekar post likhne ka koi faida nahi, kyuki aap apne viewers ko wo sab nahi bta payenge jo unko apse janna hain, aap yeh mat sochiye ki aap jyada chote hain ya jyada bade hain, ya fir apko blog post ke bare me koi knowledge nahi, blog banane se pehle mujhe bhi is bare me koi jankari nahi thi, wo kehte hain na jabtak bacche ko school na bhejo to wo kuch ni sikh pata, thik waise hi aapko bhi karna hain, isliye blog post likhne se pehle research karna bahut jaruri hain, aap apne apko ek teacher ki tareh treat kare ki aap apne students ko ek acchi se acchi jankari provide karne ja rhe hain, uske liye research bahut hi jaruri point hain. fake jankari dene se bache, agar kuch nahi pata to visiters ko saaf bta de ki apko uske bare me koi jankari nahi, taki visiter ka ap per trust ban jaye ki haan yeh mujhe bilkul sahi-sahi jankari provide kar raha hain, post me use hone wale keywords ke bare me jaankari hasil kare, uske liye aap GOOGLE KEYWORD TOOL ka istemal kar sakte hain. keywords ka sahi tareh se proper use hi apki post ko hit kar sakta hain.

Note: Blog se paise kamana chahte hain to dhyan rakhe yeh jaruri batein

step 2: Blog ka accha TOPIC-POST TITTLE chune.

Ek acchi post tabhi kehlai jayengi jab uska Topic accha hoga, Topic accha aur keywords se bhara hua hona chahiye, jo dekhne me accha bhi lage. JAISE MAI BLOG SE PAISE KAISE KAMAU , Yeh ek Topic hain, isme aap agar dekhnge to apko 3 keywords dikhai denge.

Pehla – BLOG
Dusra – PAISE
Tisra – PAISE KAISE KAMAU

kyuki jab aap google me search karte hain to yahi sab keywords se search karte hain, aap sidha google me aakar yahi likhte hain ki – BLOG SE PAISE KAISE KAMAU ya PAISE KAISE KAMAU. iske bad google 1 second se bhi kam time ke andar apke samne wo lakhon hajaro website le aata hain jisme yeh keyword use kiya hota hain, TOP 10 wohi post aati hain jisme is keyword ka acche se istemal hua ho. Isliye TITTLE bhi bahut Important hain.

step 3: Ek accha Content kaise likhu


Ab bari aati hain content ki, Content hamesha headline se start kare, aur kosish kare ki aap ek post 500 – 800 words ki likhe, kyuki choti post ko google jyada importance nahi deta hain.  aapne planning kar li hain, Tittle likh diya hain, ab aap jo bhi us TOPIC se related jaante hain, wo sab apni Blog Post me likhe. Keywords ka bahut hi dhyan rakhe, agar apki post ke andar keywords nahi honge to wo Post Rank nahi karengi, isliye bahut important hain ki Blog post ke andar bhi keywords ka istemal karna , ek acchi blog post likhne ke liye Step to Step jankari provide karwaye. Step to Step likhne se Padne wale ko pata lgta hain ki aap Topic ke bare me sab jante hain, Kosish kare aap aisi post likhe ki aap apne Visiter ko Bandkar rakh le, means ki jab apke visiter ko kuch janna ho to wo apke blog me wapas aaye aur jankari hasil kare. 500 – 800 words ke Blog post me 10 – 12 baar keywords ka istemal kare. isse jyada keywords ka istemal karna spam kehlaya jayenga , isliye kosish kare keywords acchi acchi jageh hi istemal kiye gaye ho. asha karta hu aap samajh gaye honge.

Note: Mobile se Paise kaise kamaye
         4-5 Hours me kaise Google Adsense Account Approve karwaye

step 4: Apni Blog post me Acchi Images ka Istemal kare


Content likhne ke sath- sath apne content me Images ka bhi istemal kare, viewer hamesha images se yeh pata laga leta hain ki aap use kya samjhana cha rhe hain. wo kehte hain na Images bina bole hi sab smjha deti hain, ya kuch log to aise bhi kehte hain ki Images bolti hain, isliye apni post ko Hit banane ke liye effective Images ka hi istemal kare. Har step per Images daale Taki Smjhane wala pechan sake ki aap ab kis chij ke bare me btane ja rahe hain.
for example: aap Food banana sikha rahe hain, to har step me usi food ki images daale, kaise aapko cook karna hain, usme apko kya kya chije milani hain, cook karne ke baad wo food kaisa dikhenga. yeh sab images dale.
Images apke blog post ko ek flow provide kar dengi.

step 5:  Last aur sabse jaruri point hain Editing.

Ek bar Blog post likh lene ke bad usko firse pade, aur agar apko kahi kuch gadbad ya mistakes dikhti hain to usko sudhare, kahi koi sentence galat likha hain to use sahi kare, aur agar apko lagta hain ki kahi kuch or likhna tha to usko bhi likhe, yeh sabse important part hain, kyuki aap apne readers ko galat information dena nahi chahte ,  agar kahi mistake reh jati hain to reader ko smjhane me bahut problem aa jati hain. isliye hmesha apne post ko 2-3 bar jarur pade, taki apko apki galtiya dikhai de jaye.

Final words : Blogging ek job ki tareh hi hain, starting me hard lagti hain, per sahi knowledge aur jankari ho jane ke bad yeh apko easy aur acchi lagne lagti hain, isliye aap blogging ke bare me jitna janenge apke liye utna hi accha hoga. Is post ke andar maine sabhi important parts btaye hain, jo ek Seo ki taraf se bahut important hain, actually yahi sab chij to SEO kehlati hain.

agar mai is blog post me kuch point cover nahi kar paya hu to aap mujhe btaiye, mujhe apke comments ka intejar rahenga.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]