[an error occurred while processing the directive]

Easy Trick: Paypal Account kaise banaye aur kaise verify karwaye

Easy Trick: Paypal Account kaise  banaye aur  kaise  verify  karwaye
Paypal account कैसे बनाए और कैसे verify करवाये 


Paypal account  online payment  karne aur  payment paane ke liye istemal kiya jata hain,  Aamtor per hum  india se bahar paise bhejne ke liye kisi broker ka istemal karte hain,  jo hmare paise  india se bahar pahuchata hain,  jiske badle me wo humse ek acchi khasi moti rakam bhi le leta hain, jisse hume india se bahar paise bhejna kafi muskil ho jata hain aur kafi mehnga padta hain.

Isi tareh pakistan me bhi logo ko Paypal se paise paana Mehnga padta hain, waise Paypal ke rule ke mutabik Pakistan me Paypal Support nahi karta hain, Lekin iske bawajood bhi Pakistan ke log Paypal ka istemal karte hain, Pakistan ke log Paypal account ko verify karwane ke liye Pakistan se bahar rehne wale apne dosto ki madad lete hain, ya Proxy change kisi trick ka istemal karte hain, jiske bare me mujhe koi Knowledge nahi hain. Iske elawa wo log india me rehne wale apne kuch dosto ki bhi help lete hain.

Note: 4-5 Hours me kaise Google Adsense account approved karwaye
         Mobile se Paise kaise kamaye

Pakistan wale Log aisa kyu karte hain

Actually maine apne ek pakistan dost se baat kari aur usse maine jana , to usne mujhe bataya ki pakistan me kafi sare log Payza se paise mangwate hain aur bhejte hain, Lekin Payza se paise mangwana aur bhejna unko kafi mehnga padta hain, wahi unko PAypal se paise bhejna aur mangwana kafi sasta padta hain, isliye wo pakistan me bhi paypal account ka istemal karte hain.

Mai paypal per account kyu baanu isse mujhe kya profit

Paypal aapko ek acchi service deta hain, agar apko kahi online payment karna hain to apko waha apna debit card detail dena padta hain, jo kafi time risky bhi ho jata hain, but agar apka account paypal me hain to apko yeh risk lene ki jarurt nahi hain ap apne paypal account se payment kar sakte hain.

Note: Blog se Paise Kamana chahte hain to dhyan rakhe yeh jaruri baatein
         Domain Name se paise kaise kamaye

Paypal Account Kaise Banaye aur kaise verify karwaye

Paypal Account banane ke liye sabse pehle www.paypal.com per jaaye, yaha Sign up ke button per click kare aur apna account banaye.

 Second page per Individual Select kare aur continue kare, Individual ka matlab hain ki aap Account khudse bana rahe hain ya kisi aur se banawa rahe hain.

Thrid page khulne per waha aapna valid Email id aur paypal account ke liye apna password dale aur continue kare.

Fourth page me apke samne ek form khulkar aajayenga, usko ek dum correct fill kare , apna nam, address, date of birth, mobile number sab dale aur agree and create account per click kare.

Note: Kya business kare
          Business ko Uchaiyo tak kaise lekar jaaye

Ab apke Valid Email id per paypal walo ki taref se ek Mail aa jayenga, us mail ko kholiye aur apne paypal account ko Verified karwaiye, ki haan ap hi is paypal account ke ownner hain.
Ab niche di gai pic me dekhiye, yaha 5 Gol-Gol khane banae aa rahe hain unme se 2 per green ka sign hain, jiska matlab hain apne apna account bana liya hain aur apna email id verify karwa liya hain, ab apko apna debit card/credit card, mobile number aur bank account add karke verify karwana hain. to ek ek karke inke upar click kare aur inme details dalkr inko verify karwaye.

un teeno ko verify karwane ke bad ab upar bani ghanti per click kare aur task complete kare.

Task me apko apna PAN CARD number add karna hain, aur Email jisper payment msg chahiye aur apna bank account add karna hain, ek ek karke start ke button per click kare aur sab details add kare.

jab yeh Teeno chije complete ho jaye, uske bad MY account me aaiye aur payment methods per click karke, apna bank account aur Debit card add kare. Bank account add to abhi ho jayenga per wo abhi verify nahi hoga,  Verify hone me 3-5 din ka time lagenga.

Bank account verify karwane k liye paypal apke banka account me 2 digit minimum payment bhejnga jaise ki 1.45 rupiye ya 2.60 rupiye, apko apne bank me jakar yeh 2 digit payment pata karni hain aur paypal me verification bank account wali jageh per dalni hain.
2 digit payment pata karne ke liye apko bank me jakar apna statement nikalwana padenga ya fir net banking se aap apna statement pata kar sakte hain .

ek bar yeh process complete karne ke bad apka paypal ka account ban jayenga aur wo verify bhi ho jayenga, ho sakta hain paypal apse Verification ke liye PAN CARD ki scan copy , ADDRESS PROOF, BANK STATEMENT e.tc. mang le to aap wo unko de dijiye, ap uske bad yaha se paise bhejne aur paane ke liye verify ho jayenga.

Paypal account ko complete verify karwane me 3-5 din ka process lag sakta hain.

Aap Paypal Account se related yeh Video dekar bhi Apna Paypal account bana sakte hain aur verify karwa sakte hain.

Dosto apko mera yeh post kaisa laga mujhe jarur btaye, mujhe apke jawab ka intejar rahenga, koi problem aane per ya kuch puchne ke liye aap mujhse comment box ke through puch sakte hain…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]