How To Activate PNB Internet Banking Online In hindi
Agar Apko PNB internet Banking activate karwani hain to aap isko Online bhi activate karwa sakte hain, INTERNET banking ke liye aapko apne bank me jane ki jarurt nahi, Online Application Bhariye aur submit kar dijiye , turant apki Internet banking activate kar di jayengi.
Agar ap bank jakar internet banking ke liye apply karte hain to ho sakta hain apko 1 mahine tak ka samey lag jaye, per online aap turant apni net banking activate karwa sakte hain aur faida le sakte hain.
Internet banking ek online banking service hain, jiske andar aap ghar bethe ya duniya me kahi bhi ho, waha se apne bank account ko manage kar sakte hain, aur logo ko paise bhej sakte hain, ya apna bank statement pata kar sakte hain, Internet banking ke through aap kisi bhi bank me Fund Transfer kar sakte hain, aur paa bhi sakte hain, bhale hi wo, SBI bank ho, ICICI bank ho, Axis Bank ho, Hdfc Bank ho, ya bank of barodra Bank ho,kehne ka matlab hain aap kisi bhi bank me paise bhej sakte hain aur paa sakte hain.
Internet banking ke through apke time ki bachat hoti hain, Bank jakar lambi lambi line me lagne se aap bach jate hain.
Note: Internet Banking Ke Through Paise Kaise Transfer Kare.
Dosto yeh bahut hi simple process hain, Ise koi bhi asani se kar sakta hain, isliye dhayan se is post ko padhiye. mai apko step by step sab smjha dunga.
step1: Sabse pehle https://www.netpnb.com/ is link per click karke PNB ki website khol lijiye.
Step 2: Retail User ke button per click kariye
Step 3: New User per click kariye.
step 4: ab apke samne registration ka pehla charan aa gya hain, is box me apna bank ka account number likhiye, aur niche view and transaction wale point ko select kariye aur verify per click kar dijiye.
Note: Mobile Se Paise Kaise kamaye
step 5: Agle page per apse apki Date of Birth aur Registerd Mobile Number mangenga jo apne bank me diya hain, wo daliye aur continue kariye.
step 6: AB apke yeh page khulkar aa jeynga jo niche diya gaya hain, ab apko yaha sabse upar apki User Id dikahi dengi , isi user id se aap apne PNB account me login kar payenge , isliye isko kahi likh lijiye.
Note: paise kamaye mobile Application se
Domain Name Se Paise Kaise kamaye
Iske niche apko apna LOGin password set karna hain, Iska matlab hain ki PNB INTernet Banking ke account me Login Hone ke liye jab aap username dalenge to uske bad apse jo password manga jayenga wo password Login password kehlata hain.
Thik usi ke niche apko transcation password set karna hain, jab bhi aap kisi ko paise bhejenga to final process me apse transcation password manga jayenga isliye yeh bhi set karna jaruri hain.
Note: dhyan rahe yeh dono password kisi ke sath share na kare.
Ab terms & condition ke box per check ka sign lagaye aur COmplete Registration per click kar de.
Iske baad apke Registered mobile number per ek code ayenga wo code lekar daal dijiye.
Ye Lijiye apki PNB INTERNET BANKING chalu ho gai hain. isko complete activate hone me 24 hours ka time lagta hain, per aap ise abhi istemal kar sakte hain.
Dosto agar meri yeh post apko acchi lagi hain to apne dosto ke sath ise facebook aur twitter per jarur share kare, aur koi doubt ya problem hone per aap mujhse comment box me puch sakte hain.