Domain Name Se Paise Kaise Kamaye
डोमेन नाम से पैसे कैसे कमाए
Internet ki duniya me paise kamana Assan nahi hain, per yeh kehna bhi bewakufi hogi ki paise kamaye ni ja sakte, haan mai kehta hu internet ki duniya se aap bahut paise kama sakte hain, per uske liye apko bahut mehnat karni padengi..
Chaliye ajka topic hain Domian Name Se Paise Kaise Kamaye
Aaj Internet per Croro Logo sirf domain bechkar Lakhon rupiye mahina kama rahe hain, wo log koi aisa Domain kharid lete hain jo bahut hi Unique hota hain, fir kuch din apne pas rakhne ke bad usko Uchi kimato me bech dete hain, Yeh thik waisa hi business hain jaise hum Normal Life me koi property kharidkar bech dete hain, Waise yeh kehna Lajmi hoga ki Internet ki duniya me Domain apki ek property hi to hain, jiska aap jo mann wo istemal kar sakte hain, aur jitni marji utni kimat per usko bech sakte hain.
jaise ki Insure.com domain ko ek person ne 16 Million dollar me becha.
Dosto domain name apki website ka naam hota hain, sidhe sabdho me agar apko samjhau to aap aise samjhe, jaise www.Google.com isme jo yeh Google.com nam hain yeh Google company ka domain hain, Thik isi prakar se www.Facebook.com, isme Facebook.com nam Facebook company ka domain hain, Thik jaise mere domain ka nam www.hitleruncle.com hain, isi ko domain kehte hain, www.domainName.com. aise hi www.google.in ya google.org ya google.net yh bhi domain h.
Ab baat aati hain ki domain name kaha se kharida ja sakta hain, dosto internet me hajaro aisi websites hain jo domain name bechti hain, aap waha se apni pasand ka koi bhi domain name kahrid sakte hain, example ke tor per, GODADDY & BIGROCK aap iN website se aapna domain kharid sakte hain, mai khud yahi se apne domain name kahridta hu, internet jagat me yeh ek matra famous website hain.
Domain name select karna koi muskil kaam ni hain, bus dhyan se sochiye kuch aisa naam jo aage chalakr aapko ya to famous kar de ya fir us naam se acche paise dilwa de, agar aap domain name select nahi kar paate hain to iske liye aap chote baccho ki help le sakte hain, kyuki chote baccho me wo creative dimag hota hain jo bado me dekhne ko nahi milta hain. Jaise ki Hitler Uncle jo meri website ka naam hain yeh ek chote bacche ke duwara hi select kiya gaya hain, usne jab mujhe yeh naam bataya to mujhe yeh bahut unique laga, aur kuch hat-kar laga, fir jab maine ise domain website per search kiya to mujhe khushi yeh dekhkar hui ki yeh waha per available tha, to maine bina time waste kare fat-se isko kharid liya aur aaj dekhiye yeh domain internet ki duniya mai live hain, Domain ek robot ya Idea ki tareh hain, jis tareh hum Robot ko banakr is duniya mai sabke samne laate hain aur wo hmari khoj kehlata hain, usi tareh domain name bhi kaam karta hain, log dekhte hain ki is falani site ka domain name kya hain, or jab logo ko domain name kuch alag dikhta hain to log khud use dekhkar yeh andaja laga lete hain ki is website me kya alag hoga. Agar mai simple sabdo me samjhau to domain name se hi internet ki duniya mai apki pehchan banti hain. isliye humesha unique aur accha domain name select kare.
Agar aap domain kharidna chahte hain to is post ko padhiye, domain name kaise kharidu.
BIGROCK se domain Name kharidne ke liye yaha CLICK kare: CLICK HERE
ek bar domain name kharid le to uske baad aap ise bech bhi sakte hain, bechne ke liye aap iska advertise kar sakte hain, ya fir isko GODADDY ki website per Cash parking aur free parking bhi kar sakte hain. ek aur tarika hain ki aap isko Redirect karke bhi bech sakte hain, yeh ek tareh se paid parking ki tareh hi hain.
Cash parking ek tareh ki paise dekar apne domain ko park karwane ki service hain, asaan sabdo me samjhau to, jis tareh aap aapni car ko kahi market me parking ki jageh per parked karte hain, aur parked karne ke bad ek Recipt ( bill rasid) katwate hain, matlab ki aapne apni car ke liye thore time ke liye wo jageh kharid li hain, thik usi tareh GODADDY me CASH parking hain, domain kharidne ke baad aap isko paid park bhi kar sakte hain, jiske aapko mahine ya saal ke paise dene honge, wahi GODADDY & BIGROCK me free parking ki bhi service hain, isme apko kuch nahi karna hain, sirf domain kharidna hain aur chor dena hain, jab kisi ko wo domain chahiye honga aur use yeh dikhai denga ki yeh free parking per hain to wo GODADDY & BIGROCK se contact karke apse puchenga ki aap ise bechna chahte hain ya nahi.
CASH parking paise dekar kharidi jati hain, isme apke parking ki jageh per GODADDY kuch advertise laga deta hain, jab bhi koi person un advertise per click karenga to aapko uske paise diye jayenga, yh ek acchi service hain, isse aap apne domain se paise bhi kama sakte hain.
Dusra wahi free parking me apko koi paisa nahi dena padta , aur na hi apke domain ke park ki jageh per koi advertise laga sakte hain, jisse apko koi earning nahi hoti hain.
isme aap apne domain ko apni kisi website per redirect kar sakte hain aur waha google adsense ke advertise lagakr uske through paise kama sakte hain.
yeh teeno hi service acchi hain, ab sochna apko hain ki aap konsi select kare.
Jaisa ki maine upar starting me hi btaya hain ki aajkal duniye me aise croro log hain jo domain name bechkar lakhon kama rahe hain, wahi kuch aise bhi hain jo sirf domain bechkar crorepati bhi bane hain, apko apke ek domain ke muh bole paise mil sakte hain, bs dekhna yeh hain ki wo domain kitna important hain, aur uska aage chalkr kya use ho sakta hain, fir aap uska price set karke kharidne wale ko bta sakte hain aur usse man chahe paise kama sakte hain, ek domain se aap 1000 rs se lekar 1 crore, 2 crore, 20 crore, matlb ki us domain ki jitni value hain uske hisab se use bechkar kama sakte hain.
kharidne wala ya to apse sidha contact karenga ya fir GODADDY AUR BIGROCK ke through aapse contact karenga, aur ap dono ke bich yeh deal complete hogi, agar mai kahu to aap humesha apni deal GODADDY AUR BIGROCK ke through hi kare, kyuki usse apke pas trust ban jayenga aur GODADDY AUR BIGROCK kharidne wale se phle paise lega fir use apka domain denga. jo bilkul safe hain aur paisa sidha apke bank me ayenga.
agar apko koi problem hain to aap mujhse comment ke through puch sakte hain, mai apke comment ka jawab 4-8 hours ke andar de dunga..
agar apko yeh post acchi lagi hain to please ise apne dosto ke sath share kare.