[an error occurred while processing the directive]

How To Transfer Fund Through ICICI INTERNET BANKING in Hindi

How To Transfer Fund Through ICICI INTERNET BANKING in Hindi 
ICICI Internet Banking ke Through Paise Kaise Transfer Kare

ICICI Internet Banking ke through paise transfer karna chahte hain, to is post ko bahut hi dhyan se pade, isme me apko step to step complete process btaunga ki kaise Payee Name add karte hain, Aur kaise Usko Verify karte hain, aur Kaise Fir Kisi aur ke bank account me paise transfer kar sakte hain.

ICICI internet banking ke through aap Kisi bhi bank me paise transfer kar sakte hain, SBI Bank, Bank of brodra , Hdfc Bank, Axis Bank, Dena ji bank, Overall kisi bhi bank me.

Agar apne abhi tak internet banking activate  nahi kari hain to kar lijiye.

Payee Name kaise add kare

step 1: Sabse pehle aap http://www.icicibank.com/ is link per click karke icici bank ki website per pahuch jaiye.

step 2: ab aap Login ke upar mouse lekar jaaye to apke samne kuch option khulkar aa jeynga isme aap pehla option select kare aur usper click kar de, PERSONAL, NRI & YOUNG STARS

step 3: CONTINUE TO LOGIN per click kare

step 4: ab apna icici bank ka user id aur password daliye.

agar apke pas Internet banking nahi hain to is post ko padhkar aap apni Internet banking activate karwa sakte hain, sabhi banks me ek hi process hota hain, aap ise dekhkar apne kisi bhi bank ki internet banking activate karwa sakte hain.

Note: Internet banking Online kaise activate karwaye

step 5: Jaise hi aap apna user id aur password dalkar login hote hain apke samne is tareh ka page khulkar ayenga . Payments & Transfer ke upar mouse lekar jaye aur Manage payee per click kare

step 6: yaha apse puch raha hain ki apka Payee konse bank ka hain , agar icici bank ka hain to ICICI BANK PAYEE ke ADD NOW per click kare, aur agar OTHER BANK ka hain to OTHER BANK ke ADD NOW per click kare.

step 7: iske bad apke samne ek form aa jayenga isme jisko paise bhejne hain uska name, aur account number daalna hain.

Note: Business ko Uchaiyo tak kaise lekar jaaye
         Kya Business Kare

agar apko ifsc code nahi pata hain to aap Google me search karke pata laga sakte hain.
for exmaple: apko jise paise bhejne hain wo Uttarakhand ke Gadarpur city me rehta hain, to aapko google me aise likhna hain, PNB BANK GADARPUR IFSC CODE, apke samne uska ifsc code khulkar aa jeynga waha se ap copy karke likh sakte hain. aur next ke button per click kare.

step 8: ICICI BANK ek bar apko confirm karne ke liye kahenga ki apne sab detail sahi dali hain na . agar haan to Submit kar dijiye.

Note: Blog ya website Banana chahte hain to dhayn rakhe yeh jaruri batein

step 9: ab apko apna payee name confirm karna hain, apke registered mobile number per ek OTP code aya hoga , sabse pehle confirm Payee ke button per click kare aur fir Wo code box me daal de.

step 10: is box me OTP code dalkar CONFIRM kar dijiye.

30mins ke andar apka payee name CONFIRM kar diya jayenga, 30min ke baad ap apne payee ko paise bhej sakte hain.

Note: Domain Name Se Paise Kaise Kamaye
          Mobile se Paise kaise kamaye

ICICI BANK ke Through Fund Kaise Transfer Kare

Step 1: Payment & Transfer per Mouse le jaiye aur Fund Transfer per click kariye.

step 2:  jaisa ki apko other bank account me paise bhejne hain to Other bank account ke Transfer Now per click kare. agar apko kisi or ke ICICI bank me paise bhejne hote to apko second wala option choose karna padta.

step 3: yaha apko jis method se Fund bhejna hain wo select kare, NEFT , RTGS, IMPS, maine IMPS select kiya hain. aur niche puri details daliye ki apko kitne rupiye bhejne hain, aur next per click kar dijiye.

step 4: yeh final process hain, isme apko puri details verify karni hain, aur jaise ki niche ek card ka back side wala portion dikhaya gaya hain, to aap apna ICICI bank ka ATM card laiye aur BACK PORTION check kariye.

jaise ki yaha per G , H, O ke number mange hain to apke card me G ,H ,O  ke box me jo number likhe hain wo yaha likh dijiye aur submit per click kar dijiye.

Lijiye apka Fund Transfer ho gya hain, IMPS me turant paise account me aa jate hain, per NEFT ME 4-5 ghante ka time lagta hain.

ICICI INTERNET BANKING ke Through Paise Kaise Transfer kare
Yeh video dekhkar bhi aap Internet Banking Se Paise Transfer Karna sikh sakte hain.

Dosto Internet Banking se Related Koi bhi doubt aur problem hone per aap mujhse comment karke puch sakte hain, Agar apko yeh post acchi lagi hain to mujhe jarur btaye, isse mujhe motivation milenga aur mai apke liye aur posts likhta rahunga, please comment jarur kare.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

[an error occurred while processing the directive]