Apni Khudki Website Kaise Banaye
Dosto aaj mai apko apni is post me website banana sikhaunga, agar aap website banana chahte hain aur usse paise kamana chahte hain to aap is post ko dhyan se padhiye, yeh post apke bahut kaam aa sakti hain. Waise normal aapko website banwane ke liye ek expert ki jarurt padti hain, per google ne apko ek bahut hi khas service di hui hain, jiske madhyam se aap free me apni website bana sakte hain aur usko live kar sakte hain.
Basically ek website banane me Hosting, Domain aur Script ki jarurt padhti hain, per agar apke yeh sab purchase nahi karna chahte to aap bina inke bhi apni website bana sakte hain, uske liye google ki yeh service apke bahut kaam aa sakti hain. Isme website banane ke bad agar aap chahte to ise Dusri script me bhi transfer kar sakte hain, aur apna domain name isme add bhi kar sakte hain, Chaliye jante hain ek free website kaise banaye.
Blogger me apna Blog kaise banaye.
Sabse pehle BLOGGER k Homepage per chale jaiye jaha se apko apna Blog/Website banana hain. aur waha apne Google/Gmail ke account se Login ho jana hain.
ab yaha New Blog ke upar click kare aur apna blog/ Website banaye.
Apke samne is tareh ka page khulkar aa jayenga yaha sabse upar wale box me apko apni website ka TITTLE Likhna hain aur uske Niche apne Blog ka URL choose karna hain. aur "Create Blog" per click karna hain.
Jaise ki maine apna TITTLE Mera Blog Likha hain, aur URL MeraAPnaBlogHindiMe.Blogspot.in diya hain, Yaha per blogspot.in isliye aya hain kyuki yeh ek Free Blog hain, Jisme aap apna URL set nahi kar rahe hain, Agar apko yeh Blogspot hatana hain to aapko apna ek domain kahridna padenga , DOMAIN KAISE KHARIDE uske liye yeh post padh lijiye. Domain kharidne ke bad usko Custom Domain k option me set karna hain, then apka URL change ho jayenga.
Yeh dekhiye aapka Blog ready Ho gya hain, 5 Min se bhi kam samey me apne apna Free Blog bana liya hain. Ab aap apne Blog ko yaha per diye sabhi Options se Handle kar sakte hain, aaiye sabse pehle ek Post likh lete hain, uske liye New Post per click kariye.
Sabse upar wale box me apko post ka Tittle dena hain, Aap kis Topic per Post likhna chahte hain wo Likhiye, uske bad niche wale box me apko Puri post likhni hain, Jab post complete ho jaye uske bad Update ke button per click kare aur apni post Live kar de.
Yaha pages me diye Layout ke option per click karke aap apne Blog me Add widgets ko apni marji se kahi bhi set kar sakte hain, bus apko apne widget ke box ko drop drawn karna hain. aap yahi se new widgets bhi add kar sakte hain. "add a widget" ke button per click karke.
Website Handle ke baki Options ki Jankari steps-wise
1: Is page me aap agar post per click karenge to apko apki sabhi post dikhai dengi.
2: Pages me agar click karenge to apke duwara banaye gaye sabhi pages yaha show ho jayenge.
3: Comments per click karke aap dekh sakte hain ki kis-kis ne apke website per comment kiya hain.
4: Stats per click karke aap dekh sakte hain ki apki website per Kitna traffic aa raha hain, aur kaha - kaha se log aa rahe hain.
5: Earning per click karke aap apni Website me Google Adsense ke Account ko add kar sakte hain.
6: Campaign per click karke aap apne Blog/ website ka advertise kar sakte hain, jisse jyada se jyada logo ko pata chale ki apka blog kis chij se related hain.
7: Layout me aap apne blog/ website me apni pasand ke WIDGETS add kar sakte hain aur unko apni marji ki jageh per FIx kar sakte hain, jaise ki FACEBOOK LIKE PAGE, SUBSCRIBE PAGE E.t.c
8: Template per jaakar aap apne blog/ website ke design aur theme ko badal sakte hain.
9: Setting se related chije aapko Setting ke option me mil jayengi.
Ek bar bs blog/ website ko acche se dekh lijiye kaha kya - kya chij hain uske baad ap samajh jayenge apko kya kya karna hain.
Ye lijiye dosto aapne apni website bana li ab aap isme apni pasand ka content daal sakte hain.
Website banane se Related koi bhi problem hone per aap mujhse comment ke duwara puch sakte hain. Thanks