Wifi Ka Password Kaise Pata Kare
wifi का password कैसे पता करे
Namaskar dosto mera nam abhishek hain, aur aaj mai apko apni is post mai wifi ka password pata karna btaunga, kuch logo ki yeh bahut badi problem hoti hain ki wo log apna wifi ka password laga lete hain, but kuch time bad wo apne password ko bhul jate hain, aur password ko bhulna yeh ek common si baat ho gai hain, Iska bhi pata humko tab lagta hain, jab hum kisi aur device me apna wifi connect kar rahe hote hain, ya humare ghar me hmara koi dost ata hain aur wo humse hmara wifi ka password mangta hain, lekin tab hume achanak yaad ata hain ki yar humara wifi ka password kya tha, Hum to apni taref se sach bolte hain, per dost log samjhte hain ki hum jhut bol rahe hain, Hum nahi chahte ki wo Hamara wifi istemal kare, to aisi Galat-fhemiyo se bachne ke liye aaj mai apke liye yeh post lekar aya hu, jiske andar aap yeh jaan payenge ki wifi ka password bhul jane ya kho jane ke baad use kaise pata kare. to post me bane rahiye. mai apko complete process step wise samjha raha hu, taki apko samjhne aur password pata karne me ashani ho.
Is Post ko bhi jarur pade:
Step 1:
Sabse pehle apne Laptop ki screen me sabse niche dekhiye jaha Wifi ke network aate hain, Un network ke Icon Per Click kariye.
Step2:
Ab is box me sabse niche Open Network & Sharing Center Naam ka Option hain, Iske upar click kare, Jiske baad aap sidha wifi ki settings ke andar pahuch jaiyenge.
Is post ko bhi jarur pade:
Google Se Paise Kaise Kamaye
Step3:
Ab yaha apko apka Network dikhai de raha hoga, to Wireless & Networks per click kariye.
Step4:
Apke samne ab ek POP-UP Screen Khulkar aa gai hogi, isme aap Wireless Properties ke upar click kariye.
Is Post ko bhi jarur pade:
How to transfer fund through ICICI Internet banking in Hindi
Step 5:
Ab aapke samne ek aur POP-UP Screen Khulkar aa gai hogi, apko isme sabse upar Security wala Option Select karna hain, Aur isi Box me Sabse Niche EK box aayenga usme Check ka sign laga dena hain, jaise hi aap check ka sign lagyenge, us box ke upar ke sabhi black dots hat jayenge aur apka wifi ka password show hone lagenga.
To Dosto aap is Trick se apna wifi ka password easily tareh se pata kar sakte hain, is trick me apko kisi bhi tareh ki koi problem nahi hogi.
Agar apko Koi problem ya koi Question puchna hain to aap sidha comment ke duwara mujhse puch sakte hain.