Agarbatti banakar kamaye Lakho Rupee

Agarbatti banakar kamaye Lakho Rupee

Namaskar Dosto Suwagat hai apka HitlerUncle blog me. Asha karta hu ki apko mera yeh HitlerUncle blog accha lag rha hoga aur apki jarurt ka sara jankari apko yaha mil pa rha hoga. Agar kisi-karanvas aapki jankari is blog me nahi hai to aap mujhse comment ke madhyam se puch sakte hai. Dosto ajka topic ek dum alag hai. Agar aap is business ki shuruwat karte hai to mai apko bharosa dilwata hu ki aap is business ke madhyam se lakho rupee mahina kamayenge. Dosto aap sab log jante hi hai ki Agarbatti-Dhopbatti har ghar me istemal hoti hai. to ajka topic yahi hai - Agarbatti banakar kamaye Lakho Rupee.

Agarbatti ek aisi chij hai jo har ghar me istemal hoti hai. aur iske istemal hone ki unit ko dekhkar ap jaan hi sakte hai ki is business me apke liye apar sambhavnaye hai. is business me apko Raw Material me thora Kharcha karna hai. aur apne ghar ya khali jagah me ek chota sa kaarkhana banana hai, jaha aap agarbatti bana sake aur uska packing kar sake. To dosto samey ko kharab na karte hai is topic ko start karte hai aur apko btate hai ki agarbatti banane me apko kis-kis saman ki jarurt padengi aur isme kitna kharcha ayenga.

Agarbatti banane me istemal hone wala Raw Material:-

1: Chandan ki Lakdi
2: Agar ki Lakdi
3: Chaddiya ( Stick) 
4: khas ki jad
5: Lobaan, Shilajeet
6: Elaichi aur javitri ke bij
7: Lakdi ka koyla aur rang
8: Gulab aur clove flower
9: Devdar aur marjoram ki pattiya
10: Kapur Kachri ki Jad
11: Charcoal Powder
12: Gigatu Powder
13: White Chips Powder
14: DI Ethyl Phthalate
15: Cuppam Dust

Agarbatti ko kaise banaye?


Dosto Agarbatti banane ke liye mai apko pointwise bta raha hu. Dhyan se Padhiye.

1: Sabse Pehle upar diya Raw material me jo Saman mix Kiya ja sakta hai usko acche se Mix kar le.

2: Iske bad is mixer me se pani ko matra ko chankar kam kar diya jata hai.

3: Mixer me se pani ki matra ko kam karne ke bad mixer ka jo avsesh sesh bach jata hai usko acche se gundh liya jata hai taki wo acche se lakhdi me chipak sake.

4: Ab is mixer ko kisi saaf aur dhalan wali jagah per fhela dijiye taki isme se jo bacha hua pani hai wo bhi nikal jaye aur ek accha mixer prapt ho.

5: Ab apko Sticks ko ek-ek karke uthana hai aur is mixer me ragadna hai taki yeh mixer apki sticks per acche se chipak jaye.

6: Ab Mixer lagi sticks ko dhoop me sukhane ke liye rakh diya jata hai.

Dosto upar di gai vidhi se aap asani se apni agarbatti bana sakte hai. Dosto aisa bilkul bhi nahi hai ki apko agarbatti banane me yahi sab material istemal karna hai. Aap agarbatti banane me dusre items bhi istemal kar sakte hai jinse khusbu aati hai.

Note: Cotton Shirt Wholesale Business Se kamaye Lakho Rupee

Agarbatti banane me kitna kharcha ayenga?

Dosto chotestar me agarbatti banane me apko 5000 - 10000Rs tak ki lagat ayengi. Agarbatti banane ka Raw Material apko bahut hi saste dam per mil jata hai. 

Agarbatti banane ke bad apko isko pack karna hai aur Stores me pahucha dena hai. Dhayn rakhe jitna accha margin aap dukandar ko denge utne jyada dukandar apni shops me apka agarbatti rakhenge.

Agarbatti Business me mai Kitne Rupee Kama sakta hu?

Dosto Yeh sab apke upar depend hai ki apne agarbatti making plant kitna bada banaya hai. Apne investment kitna kia hai. Jitna jyada investment utna adhik kamai. Example ke tor per 50000Rs lagakr aap 1.5Lakh tak easily kama sakte hai.

Dosto Agar apko meri yeh post pasand aati hai. aur meri yeh post apke kisi kam aati hai to mujhe comment ke madhyam se jarur btaye. agar apko bhi kuch janna hai to aap comment ke madhyam se mujhse puch sakte hai. Dhanywad


badge