Cotton Shirt Wholesale Business se Kamaye Lakho Rupee
Dosto ap sab log yeh bat to jante hi hain ki agar hum koi business start karte hain to shop per rakhne wala saman humko saste me kharidna hota hain taki hum usse kuch kamai kar sake. ya yeh keh lo ki humko saman wholesale per kharidna hota hain. jisse wo humko kafi saste me mil jata hai.
To dosto kahi jaiyenga nahi is post ko pura padhiye kyuki yehi ek post hain jo apko business karne ke liye motivate bhi karengi aur apko btayengi bhi ki agar aap koi business start karte hai to apko usse kitna profit hoga.
Hum wholesale me saman kaha se kharide?
Dosto wholesale me saman apko saman wahi se milenga jaha per kapde ka manufacturer hub ho. matlab yeh hain ki jaha per kapda banane wale bahut sare kaarkhane ho. India me alag alag state me kafi jagah h jaha se apko wholesale me kapde mil jayenge.. bus jarurt hain apko un jagah ka pta lagane ki.
Half Shirt ka manufacturer cost kitna hai aur humko kitne me milenga aur hum usko aage kitne me bech sakte hain?
Full Shirt ka Manufacturer cost kitna hai aur humko kitne me milenga aur hum usko aage kitne me bech sakte hai?
Dosto Merrut me shirt Shirts hi nahi banti waha aur bhi chije banti hain. jaise ki cotton kurta.
Ek cotton kurta apko waha 110-115rs ke bich me padenga . Jisko aap apni shop me 400-500rs ke bich me bech sakte hai.
isi ke sath meerut me apko pathan, nawabi kurte bhi mil jayenge. jiska cost 200-250rs ke bich me hoga aur aap use 800-1000Rs ke bich me asani se bech sakte hai.
To dekhiye na dosto agar aap Cotton shirt, kurta-kurti ka business start karte hain to apko apne business me double profit hoga.
Dosto agar aap Business kholna cha rhe hain aur apko nahi pata ki saman kaha se le aur kis rate per le to aap directly mujhse puch sakte hain mujhse jitna ho sakenga apko ek post banakr apke us question ka answer apko de dunga. Dosto mere is blog ke sath bane rahiye aur aksar yha aakar mere duwara di gai posts ko pura padkar . us post ka reply comment ke madhyam se de.. Dhanywad