4-5 Hours me kaise Google Adsense Account Approve Karwaye - Fast Trick

4-5 Hours me kaise Google Adsense Account Approve Karwaye - Fast Trick
Google Adsense Ko Kaise Jaldi Approve Karwaye - Fast Trick



Ek blogger ke liye Google Adsense ka account kitna Importance rakhta hain wo ek blogger hi janta hain, Waise Google adsense ka Account pana ko asaan nahi hain, per agar aap is trick ko follow karonge to aap yakinan 4-5 hours ke andar google account approved karwa longe.
Kuch new Bloggers ko hmesha yeh problem aati hain ki unka Google Adsense ka account approve nahi ho paa raha hain, wo humesha google Adsense ke account ko approve karwane ke liye alag alag Tricks apnate rehte hain, kher ab aapko koi Trick Apnane ki jarurat nahi hain, aap asani se 4-5 Hours me Google Adsense ka account pa sakte hain. bus is post ko Dhyan se padhiye, aur haan Padhne ke bad apne comments na dena bhuliyenga, AGar comments nahi donge to mai post nahi likhunga :P : D .
Ahahah yeh bus ek joke tha isko seriously na le, Dosto Is trick se aap google adsense ka account pa to longe per agar apka blog wordpress me hain to aap waha iska istemal nahi ka paoge, but agar wahi agar aapka blog blogger me hain to aap bilkul asani se isko istemal kar paoge.
Dosto agar apko 4-5 Hours ke andar Google adsense ka account approve karwana hain to aapko ek youtube ka channel banana padenga.
Ji haan aap sahi samjh rahe hain, apka Google Adsense ka Account Youtube ke duwara hi hum approve karwaynge, yeh ek acchi trick hain jise kafi bloggers use karte hain, to aap bhi kyu na isko istemal karo, aur fir apne blog me google adsense ke ads lgakar lakhon rupiye kamao.

Note: Mobile se paise kaise kamaye
          Domain Name se paise kaise kamaye

Sabse pehle Youtube per account banaiye, uske liye www.youtube.com per jaiye.




jab aap is website per jaate hain to apko sabse upar sign in ka button dikhai deta hain, isper click kare aur apne gmail ke account se isme login ho jaiye.

Jaise hi aap apne gmail ke account se youtube per login hote hain tabhi apka Youtube ke channel ban jata hain, ab apko jarurt hain yaha se apna Google adsense Ka account Verifiy karwane ki, to uske liye sabse pehle Youtube me Upload ke button per click karke ek Original Video Upload kare, dhyan rahe video kahi se copy na kari ho, ya kisi gane ya music ki na ho, means copyright, apni khudki original video banao aur upload karo, upload karne ke baad aap google adsense ke liye apply kar sakte hain.

Note: Business ko uchaiyo tak kaise le jaye
          Domain ko Godaddy me cash park kaise kare

Jaise hi aap Video ko Upload kar dete hain to ab hum agli process per badte hain, Ki kaise hum 4-5 Hours me Google Adsense ke account ko Approved karwaye.


Dekhiye yaha maine videos Upload kar di hain, ab agli process per chalte hain, aapko ab yha niche CHANNEL ke button per click karna hain.


jaise hi aap CHANNEL per click karenge apke samne is tareh ka page khulkar aa jayenga, sabse pehle aap yha apne ACCOUNT STATUS ko verify karwa lijiye. iske liye verify ke button per click kariye to apke samne is tareh ka page aa jayenga, yha apko apni country select karni hain aur aap yeh second wala option select karna hain.

Note: Blog se paise kamana chahte hain to dhayn rakhe yeh jaruri batein
          Domain Name kaise kharide


Ab apke samne aisa page khulkar aa jeynga, yaha apna mobile number daliye aur submit kar dijiye,


Ab apke mobile me ek code aaya hoga us code ko is box me daliye aur submit kar dijiye.

Note: Latest Paytm Recharge Coupons Codes


dekhiye apka youtube ka account verify ho chuka hain, ab continue per click kariye aur aage ki process karte hain.


account verify hone ke bad ab aap monetization per click kariye.



aab Enable my account per click kariye .



aab apke samne yeh terms & conditions aayengi inke sabhi box me tick karke i accpet ke button per click kariye.

Note: Kya business kare
          Paise kamaye mobile application se



Dekhiye jaise hi aap yeh last process complete karte hain apke samne apka video manager ka page khul jata hain jaha apki videos hain aur apko yaha yeh green colour ka dollar ka sign dikhai deta hain, iska matlab hain apka account monetize ho gya hain.



Ab hum apne Google Adsense account ke liye Apply karte hain iske liye Firse Channel wale button per click kare aur usi page me wapas aa jaiye.



yaha aapko PAID CONTENT k samne jo active adsense account ka link hain usper click karna hain.
Ab isme NEXT button per click kariye.



aapke samne google adsense ka website khulkar aa jeynga . ab aapko yaha Sign In per click karna hain aur apna account banana hain. Dhyan rahe sari details bilkul sahi sahi dale.

yeh page aane per Continue k button per click kariye.

aab apke samne ek form khulkar aa jeynga , waha apko apna bilkul sahi sahi address , name aur mobile number dalna hain, aur SUBMIT MY APPLICATION ke button per click karke, apni application submit kar deni hain.



Google Adsense apke account ko 4-5 hours me Approved kar denga. fir aap apne account ko blogger blog me istemal kar sakte hain.

Dosto apko yeh post kaisa laga mujhe comment box me btaiye, agar google adsense se related koi bhi jankari chahiye ya puchna hain to aap comment ke through puch sakte hain. please is post ko apne facebook aur twitter me share kare.


badge disawar satta king