Domain ko Godaddy Me Cash Park Kaise Kare

Domain ko Godaddy Me Cash Park Kaise Kare
डोमेन को Godaddy में cash Park कैसे करे 

Agar aap domain se paisa kamana chahte hain aur apne domain ko Godaddy me Cash park karna chahte hain to aap bilkul sahi post ko padh rahe hain, aaj mai apko btaunga ki kaise aap apne domain ko godaddy me Cash Park Kar sakte hain. 

Sabse Pehle Jaan Lete Hain ki Yeh Cash Park Kya Hota hain.

Cash park ek aisi service hain jaha aap apne domain ko bechne ke liye set karte hain, Cash park me godaddy apke Domain wali jageh per kuch advertise laga Deta hain, Jab bhi koi person waha aakar un Advertise per click karenga to aapko paise milenge. Yeh service isliye acchi hain kyuki jabtk aapka domain nhi bik jata tabtak aap Cash parking se kuch earning kar sakte hain, yeh earning kitni bhi ho sakti hain. agar apne 150rs ka domain name kharida hain to aapko kya pta Cash parking se 1000 Rs mil jaye, isliye yeh godaddy ki taref se ek acchi service hain.



Aaiye Jante Hain Domain ko Godaddy Me Cash Park Kaise Kare.

Note: Domain name kaise kharide
Blog se paise kamana chahte hain to dhyan rakhe yeh jaruri baatein

sabse pehle apne godaddy ke dashboard me apne username or password se login ho jaiye, jo apne domain name kharidte time daali thi.

aapke samne kuch is tareh ka page khulkar aayenga, Yahi se aapko apne domain ko godaddy me Cash park karna hain.


Ab yha domains ke upar click kare , uske bad apke samne is tareh ka page aa jayenga

yaha apko apne jis domain ko Cash park karna hain uske aage ke dabbe me check lga dijiye jaise ki upar wali pic me dikhaya gaya hain.

ab yha aapko 4 options dikhai de rhe hain, to domain ko godaddy me Cash park karne ke liye tisra option monetize select kariye.



jaise hi ap monetize ke upar cursor ko lekar jayenge ek Menu khulkar aa jeynga usme aap CASH PARKING ko select kariye

Note: Domain Name se paise kaise kamaye
Mobile se paise kaise kamaye


jaise hi aap Cash Parking ko select karenge apke samne is tareh ka page khulkar aa jeynga apko yaha get it now ke button per click karna hain.

Ab aapke samne yeh teen option khulkar aa jeynge isme se last wala option CASH PARKING select kijiye aur usme BASIC plan ko select kijiye.
uske baad apse puchenga ki aap ise 1 mahina ke liye park karna chahte hain ya 6 mahine ke liye ya 1 saal ke liye, mai ise 1 saal ke liye park karunga, kyuki 1 mahina or 6 mahine me mujhe yeh mehnga padenga , islie 1 saal sahi hain, aap apni marji se select kare.

aur ADD ke button per click kar dijiye.


Ab apko Yha kitne rupiye chukane hain yeh btaya jayenga to Proceed to Checkout kariye.


 ab apse yha kuch details mangenga isko dijiye. aur aapni pasand ke payment mode ko select kariye, ki aap net banking se payment karna chahte hain ya Debit card se, uske bad apne Card ki details daliye aur PLACE YOUR ORDER per click kar dijiye.



yeh dekhiye apka domain successfully park ho gya hain... aur isme advertise bhi aane lage hain.


ab jab bhi koi person in advertise per click karenga , Godaddy apko paise denga,
Domain ko Cash park karke paise kamana ek acchi service hain, aap bhi aisa kar sakte hain.. aur lakhon kama sakte hain.

agar apko meri yeh post acchi lgi hain to isko facebook or twitter per apne dosto ke sath share kare..  koi problem hone per aap mujhse comment ke through puch sakte hain..


badge disawar satta king